ek rah-guzar par
vo jis kī diid meñ lākhoñ masarrateñ pinhāñ
vo husn jis kī tamannā meñ jannateñ pinhāñ
hazār fitne tah-e-pā-e-nāz ḳhāk-nashīñ
har ik nigāh ḳhumār-e-shabāb se rañgīñ
shabāb jis se taḳhayyul pe bijliyāñ barseñ
vaqār jis kī rafāqat ko shoḳhiyāñ tarseñ
adā-e-laġhzish-e-pā par qayāmateñ qurbāñ
bayāz-ruḳh pe sahar kī sabāhateñ qurbāñ
siyāh zulfoñ meñ vārafta nik.hatoñ kā hujūm
tavīl rātoñ kī ḳhvābīda rāhatoñ kā hujūm
vo aañkh jis ke banāv pa ḳhāliq itrā.e
zabān-e-sher ko tārīf karte sharm aa.e
vo hoñT faiz se jin ke bahār lāla-farosh
bahisht o kausar o tasnīm o salsabīl ba-dosh
gudāz jism qabā jis pe saj ke naaz kare
darāz qad jise sarv-e-sahī namāz kare
ġharaz vo husn jo mohtāj-e-vasf-o-nām nahīñ
vo hasan jis kā tasavvur bashar kā kaam nahīñ
kisī zamāne meñ is rah-guzar se guzrā thā
ba-sad ġhurūr o tajammul idhar se guzrā thā
aur ab ye rāh-guzar bhī hai dil-fareb o hasīñ
hai is kī ḳhaak meñ kaif-e-sharāb-o-sher makīñ
havā meñ shoḳhī-e-raftār kī adā.eñ haiñ
fazā meñ narmī-e-guftār kī sadā.eñ haiñ
ġharaz vo husn ab is rah kā juzv-e-manzar hai
niyāz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
wo jis ki did mein lakhon masarraten pinhan
wo husn jis ki tamanna mein jannaten pinhan
hazar fitne tah-e-pa-e-naz KHak-nashin
har ek nigah KHumar-e-shabab se rangin
shabab jis se taKHayyul pe bijliyan barsen
waqar jis ki rafaqat ko shoKHiyan tarsen
ada-e-laghzish-e-pa par qayamaten qurban
bayaz-ruKH pe sahar ki sabahaten qurban
siyah zulfon mein warafta nikhaton ka hujum
tawil raaton ki KHwabida rahaton ka hujum
wo aankh jis ke banaw pa KHaliq itrae
zaban-e-sher ko tarif karte sharm aae
wo honT faiz se jin ke bahaar lala-farosh
bahisht o kausar o tasnim o salsabil ba-dosh
gudaz jism qaba jis pe saj ke naz kare
daraaz qad jise sarw-e-sahi namaz kare
gharaz wo husn jo mohtaj-e-wasf-o-nam nahin
wo hasan jis ka tasawwur bashar ka kaam nahin
kisi zamane mein is rah-guzar se guzra tha
ba-sad ghurur o tajammul idhar se guzra tha
aur ab ye rah-guzar bhi hai dil-fareb o hasin
hai is ki KHak mein kaif-e-sharab-o-sher makin
hawa mein shoKHi-e-raftar ki adaen hain
faza mein narmi-e-guftar ki sadaen hain
gharaz wo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai
niyaz-e-ishq ko ek sajda-gah mayassar hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 52)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.