ek rahen hum
hindū muslim sikh īsā.ī
aadam kī aulād haiñ bhaa.ī
kyuuñ aapas meñ kareñ laḌā.ī
sab haiñ ik duuje ke bhaa.ī
urfī bedī jaanī kāshī
ham sab haiñ bhārat ke bāshī
jahāñ raheñ par ek raheñ ham
ḳhuub paḌheñ aur nek baneñ ham
alag alag hai sab kī bhāshā
ek magar hai apnī aashā
gulshan sā ho vatan hamārā
harā-bharā ho chaman hamārā
koī anokhā kaam kareñ ham
duniyā bhar meñ naam kareñ ham
dushman ghar ghar aag lagā.e
is se pahle hameñ miTā.e
pahan ke apne desh kī vardī
jaḌ se miTā deñ dahshat-gardī
baat 'farāġh' uncle kī maano
apnī tāqat ko pahchāno
hindu muslim sikh isai
aadam ki aulad hain bhai
kyun aapas mein karen laDai
sab hain ek duje ke bhai
urfi bedi jaani kashi
hum sab hain bhaarat ke bashi
jahan rahen par ek rahen hum
KHub paDhen aur nek banen hum
alag alag hai sab ki bhasha
ek magar hai apni aasha
gulshan sa ho watan hamara
hara-bhara ho chaman hamara
koi anokha kaam karen hum
duniya bhar mein nam karen hum
dushman ghar ghar aag lagae
is se pahle hamein miTae
pahan ke apne desh ki wardi
jaD se miTa den dahshat-gardi
baat 'faragh' uncle ki mano
apni taqat ko pahchano
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.