ek raqqasa ko dekh kar
dil ke bujhe charāġh jalātī chalī ga.ī
qadmoñ se so.e fitne jagātī chalī ga.ī
sho.ala thā vo lapaktā huā yā ki barq thī
rag rag meñ aag sī vo lagātī chalī ga.ī
yā jism ko vo ḳham ki kamāñ kām-dev kī
kis kis adā se tiir chalātī chalī ga.ī
phūloñ kī Dāliyoñ kī lachak bāzuoñ meñ thī
bal nāzukī ke bojh se khātī chalī ga.ī
nazm-e-hasīñ kaheñ ki use ham ġhazal kā sher
ahl-e-nazar ko vajd meñ laatī chalī ga.ī
ek jumbish-e-nazar se lachaktī kamar se vo
kyā kyā fasāne dil ke sunātī chalī ga.ī
ruḳh par birah kā rañg hai yā ki milan kī aas
duniyā-e-soz-o-sāz dikhātī chalī ga.ī
ḳhvāboñ kī bastiyoñ meñ uḌaa.e liye phirī
yādoñ kā ek shahr basātī chalī ga.ī
is daur-e-mai-kashī meñ kise hosh thā 'habīb'
kab aa.ī aur kab vo pilātī chalī ga.ī
dil ke bujhe charagh jalati chali gai
qadmon se soe fitne jagati chali gai
shoala tha wo lapakta hua ya ki barq thi
rag rag mein aag si wo lagati chali gai
ya jism ko wo KHam ki kaman kaam-dew ki
kis kis ada se tir chalati chali gai
phulon ki Daliyon ki lachak bazuon mein thi
bal nazuki ke bojh se khati chali gai
nazm-e-hasin kahen ki use hum ghazal ka sher
ahl-e-nazar ko wajd mein lati chali gai
ek jumbish-e-nazar se lachakti kamar se wo
kya kya fasane dil ke sunati chali gai
ruKH par birah ka rang hai ya ki milan ki aas
duniya-e-soz-o-saz dikhati chali gai
KHwabon ki bastiyon mein uDae liye phiri
yaadon ka ek shahr basati chali gai
is daur-e-mai-kashi mein kise hosh tha 'habib'
kab aai aur kab wo pilati chali gai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 98)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.