ek rote hue aadmi ko dekh kar
ajnabī dost, bahut der meñ royā hai tuu!
apnī āvāz ke sannāTe meñ baiThe baiThe.
aur āñkhoñ se ubhar aa.ī hai sayyāl-e-fuġhāñ
apnī majbūriyāñ lāchāriyāñ bikhrātī huī
reg-e-hastī ke nizāmāt se jhunjhlātī huii.
ai udāsī kī fazāoñ ke parinde ye batā
apne anfās ke tārīk bayābānoñ meñ
aur tū kyā hai zamānoñ kī siyāhī ke sivā,
aur tū kyā hai sarāboñ kī gavāhī ke sivā,
raat meñ sard sitāroñ kī jamāhī ke sivaa.
tire chehre kī zamīñ par jo namī hai ab bhī
dil kī sab bastiyāñ us meñ hī ThiThur jaatī haiñ,
apne sahme se kināroñ pe thapeḌe khā kar
ab bhī duniyā ke sisakne kī sadā aatī hai.
ajnabī dost, ai mānūs muqaddar ke makīñ
apnī āvāz ke sannāTe meñ baiThe baiThe
ye bhī kyā kam hai ki tū apne javāñ ashkoñ se
apne hālāt ke dāman ko bhigo saktā hai
us jahāñ meñ ki jahāñ suukh gayā hai sab kuchh
ye bhī kyā kam hai ki tū aaj bhī ro saktā hai!
ajnabi dost, bahut der mein roya hai tu!
apni aawaz ke sannaTe mein baiThe baiThe
aur aankhon se ubhar aai hai sayyal-e-fughan
apni majburiyan lachaariyan bikhraati hui
reg-e-hasti ke nizamat se jhunjhlati hui
ai udasi ki fazaon ke parinde ye bata
apne anfas ke tarik bayabanon mein
aur tu kya hai zamanon ki siyahi ke siwa,
aur tu kya hai sarabon ki gawahi ke siwa,
raat mein sard sitaron ki jamahi ke siwa
tere chehre ki zamin par jo nami hai ab bhi
dil ki sab bastiyan us mein hi ThiThur jati hain,
apne sahme se kinaron pe thapeDe kha kar
ab bhi duniya ke sisakne ki sada aati hai
ajnabi dost, ai manus muqaddar ke makin
apni aawaz ke sannaTe mein baiThe baiThe
ye bhi kya kam hai ki tu apne jawan ashkon se
apne haalat ke daman ko bhigo sakta hai
us jahan mein ki jahan sukh gaya hai sab kuchh
ye bhi kya kam hai ki tu aaj bhi ro sakta hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.