ek sab aag ek sab pani
hamāre ġham judā the
qarya-e-dil kī fazā aab o havā
mausam judā the
shaam tere jism kī dīvār se chimTī huī thī
mujh ko kaalī raat khātī thī
tujhe āvāz detī thī tire andar se uThtī huuk
mujh ko bhuuk merī ruuh se bāhar bulātī thī
tujhe paañv meñ paḌtī beḌiyoñ kā rog lāhaq thā
mujhe āzādī pe shak thā
tujhe apnoñ ne apne gher kā qaidī banāyā thā
mujhe be-rishtagī ne zaat kā bhedī banāyā thā
musalsal liikh par gardish meñ rahnā nāchnā
terā vatīra thā
mirī ik apnī duniyā thī
mirā apnā jazīra thā
koī dariyā thā apne biich
ham donoñ kināre the
alag do kahkashā.eñ thiiñ
jahāñ ke ham sitāre the
hamare gham juda the
qarya-e-dil ki faza aab o hawa
mausam juda the
sham tere jism ki diwar se chimTi hui thi
mujh ko kali raat khati thi
tujhe aawaz deti thi tere andar se uThti huk
mujh ko bhuk meri ruh se bahar bulati thi
tujhe panw mein paDti beDiyon ka rog lahaq tha
mujhe aazadi pe shak tha
tujhe apnon ne apne gher ka qaidi banaya tha
mujhe be-rishtagi ne zat ka bhedi banaya tha
musalsal likh par gardish mein rahna nachna
tera watira tha
meri ek apni duniya thi
mera apna jazira tha
koi dariya tha apne bich
hum donon kinare the
alag do kahkashaen thin
jahan ke hum sitare the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.