ek sachchi amman ki kahani
mire bachche ye kahte haiñ
''tum aatī ho to ghar meñ raunaqeñ ḳhushbueñ aatī haiñ
ye jannat jo milī hai sab unhīñ qadmoñ kī barkat hai
hamāre vāste rakhnā tumhārā ik sa.ādat hai''
baḌī mushkil se maiñ dāman chhuḌā kar lauT aa.ī huuñ
vo aañsū aur vo ġhamgīn chehre yaad aate haiñ
abhī mat jaao ruk jaao ye jumle satāte haiñ
maiñ ye saarī kahānī aane vāloñ ko sunātī huuñ
mire lahje se lipTā jhuuT sab pahchān jaate haiñ
bahut tahzīb vaale log haiñ sab maan jaate haiñ
mere bachche ye kahte hain
tum aati ho to ghar mein raunaqen KHushbuen aati hain
ye jannat jo mili hai sab unhin qadmon ki barkat hai
hamare waste rakhna tumhaara ek saadat hai
baDi mushkil se main daman chhuDa kar lauT aai hun
wo aansu aur wo ghamgin chehre yaad aate hain
abhi mat jao ruk jao ye jumle satate hain
main ye sari kahani aane walon ko sunati hun
mere lahje se lipTa jhuT sab pahchan jate hain
bahut tahzib wale log hain sab man jate hain
- Book : Shaam ka pahla taara (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.