ek sawal
abbū mere paas to aanā
itnī baat mujhe samjhānā
ham jab aapas meñ laḌte haiñ
aap hamesha ye kahte haiñ
laḌnā bhiḌnā Thiik nahīñ hai
jhagḌā karnā Thiik nahīñ hai
achchhe ban kar jiinā sīkho
mil-jul kar tum rahnā sīkho
maiñ ne aḳhbāroñ meñ paḌhā hai
T.v par bhī itnā sunā hai
duniyā meñ phir ik jañg hogī
kheleñge sab ḳhuun kī holī
missile aur bam barseñge
amn-o-amāñ ko ham tarseñge
lāshoñ kā bāzār lagegā
sahmā sā sansār lagegā
maiñ bachcha huuñ maiñ kyā samjhūñ
maiñ to bas itnā hī pūchhūñ
bachche āḳhir phir bachche haiñ
jo daanā haiñ kyuuñ laḌte haiñ
abbu mere pas to aana
itni baat mujhe samjhana
hum jab aapas mein laDte hain
aap hamesha ye kahte hain
laDna bhiDna Thik nahin hai
jhagDa karna Thik nahin hai
achchhe ban kar jina sikho
mil-jul kar tum rahna sikho
main ne aKHbaron mein paDha hai
Tw par bhi itna suna hai
duniya mein phir ek jang hogi
khelenge sab KHun ki holi
missile aur bam barsenge
amn-o-aman ko hum tarsenge
lashon ka bazar lagega
sahma sa sansar lagega
main bachcha hun main kya samjhun
main to bas itna hi puchhun
bachche aaKHir phir bachche hain
jo dana hain kyun laDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.