ek sawal
gar ye tai hai
jo kuchh bhī huā
pahle se likhā thā qismat meñ
phir tum ne jitnā zulm kiyā
aur ham ne jitnā sabr kiyā
vo kis khāte meñ jā.egā
majbūr mahz haiñ jab ham sab
phir adl kī sūrat hai koī
ye jannat dozaḳh jazā sazā
in sab kī zarūrat hai koī
gar ye tai hai
jo kuchh bhi hua
pahle se likha tha qismat mein
phir tum ne jitna zulm kiya
aur hum ne jitna sabr kiya
wo kis khate mein jaega
majbur mahz hain jab hum sab
phir adl ki surat hai koi
ye jannat dozaKH jaza saza
in sab ki zarurat hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.