ek sawal
mere ābā-o-ajdād ne hurmat-e-ādmī ke liye
tā-abad raushnī ke liye
kalma-e-haq kahā
maqtaloñ qaid-ḳhānoñ salīboñ meñ bahtā lahū un ke hone kā ailān kartā rahā
vo lahū hurmat-e-ādmī kī zamānat banā
tā-abad raushnī kī alāmat banā
aur maiñ pā-barahna sar-e-kūcha-e-ehtiyāj
rizq kī maslahat kā asiir aadmī
sochtā rah gayā
jism meñ mere un kā lahū hai to phir ye lahū boltā kyuuñ nahīñ?
mere aaba-o-ajdad ne hurmat-e-admi ke liye
ta-abad raushni ke liye
kalma-e-haq kaha
maqtalon qaid-KHanon salibon mein bahta lahu un ke hone ka ailan karta raha
wo lahu hurmat-e-admi ki zamanat bana
ta-abad raushni ki alamat bana
aur main pa-barahna sar-e-kucha-e-ehtiyaj
rizq ki maslahat ka asir aadmi
sochta rah gaya
jism mein mere un ka lahu hai to phir ye lahu bolta kyun nahin?
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.