ek sawal
ek lamha bhī ik zamāna hai
yaad rakhnā ki bhuul jaanā hai
lab o ruḳhsār o gesū-e-ḳhamdār
vo lachaktī huī bāheñ vo ham āġhosh badan
vo chhalakte hue paimānoñ kī mahfil vo iram
naġhma o raqs fusūñ-kārī-e-fan
shahr ārā.ish-e-jannat hai zamīñ par ki nahīñ
ye numā.ish-gah-e-ta.amīr-o-taraqqī ye zamīñ
zindagī mehnat o qudrat ke ajā.ib
ye mashīneñ ḳhud-kār
dhaat ke purze jo haiñ farz-shanās o hushiyār
ai ḳhudā ye tire sayyāroñ ke rakhvāle
ek lamha bhī ik zamāna hai
yaad rakhnā ki bhuul jaanā hai
aaj mausam bahut suhānā hai
jī kare hai ki jaan de Dāleñ
aaj mausam bahut suhānā hai
kaT ga.e qātiloñ ke haat kahīñ
paa.ī mahkūm ne najāt kahīñ
bādshāhat zamīñ pe de maarī
chhīn lī hai inān-e-muḳhtārī
har taraf inqalāb ke āsār
haiñ kahāñ parcham-e-shah-e-ḳhūñ-ḳhvār
rashk-e-jamshed faḳhr-e-askandar
qaid mohalloñ meñ yā ki mulk-badar
Dagmagātā hai taḳht-e-shāhāna
shahryāroñ kā ḳhatm afsāna
an-ginat bijliyāñ girīñ lekin
chaar tinkoñ kā āshiyāna hai
ai ḳhudā-e-abad ḳhudā-e-azal
tere ghar meñ pahuñch ga.ī halchal
ek lamha bhi ek zamana hai
yaad rakhna ki bhul jaana hai
lab o ruKHsar o gesu-e-KHamdar
wo lachakti hui bahen wo hum aaghosh badan
wo chhalakte hue paimanon ki mahfil wo iram
naghma o raqs fusun-kari-e-fan
shahr aaraish-e-jannat hai zamin par ki nahin
ye numaish-gah-e-tamir-o-taraqqi ye zamin
zindagi mehnat o qudrat ke ajaib
ye mashinen KHud-kar
dhat ke purze jo hain farz-shanas o hushiyar
ai KHuda ye tere sayyaron ke rakhwale
ek lamha bhi ek zamana hai
yaad rakhna ki bhul jaana hai
aaj mausam bahut suhana hai
ji kare hai ki jaan de Dalen
aaj mausam bahut suhana hai
kaT gae qatilon ke hat kahin
pai mahkum ne najat kahin
baadshahat zamin pe de mari
chhin li hai inan-e-muKHtari
har taraf inqalab ke aasar
hain kahan parcham-e-shah-e-KHun-KHwar
rashk-e-jamshed faKHr-e-askandar
qaid mohallon mein ya ki mulk-badar
Dagmagata hai taKHt-e-shahana
shahryaron ka KHatm afsana
an-ginat bijliyan girin lekin
chaar tinkon ka aashiyana hai
ai KHuda-e-abad KHuda-e-azal
tere ghar mein pahunch gai halchal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.