ek sawal
tamām umr jo apne liye na maañg sakī
vo sab duā.eñ tumhāre liye hī māñgī haiñ
har ik duā meñ tumhārā hī naam lab pe rahā
har ek harf-e-mohabbat tumhāre naam rahā
ga.ī rutoñ ke hasīñ ḳhvāb saath saath chale
Dagar Dagar pe tumhārā hī naam likhte chale
jo lauh-e-sāda par ik baar terā naam likhā
ġhubār-e-gard-e-zamāna use miTā na sakā
ye aur baat ki ab ijtināb hai tujh se
ye aur baat ki dil ehtisāb kartā hai
ye aur baat ki harf-e-yaqīn sard hue
ye aur baat ki lafzoñ ke phuul zard hue
chahār samt koī dhund phailī jaatī hai
talāsh maazī ke ujle ḳhayāl kaise karūñ
tumheñ manā.ūñ to merī anā ko choT lage
tumheñ bhulā.ūñ to dil hī udaas ho jaa.e
ye sach hai sach hai gurezāñ rahe magar phir bhī
batāo dil kī tapish kyā kabhī huī mahsūs
tamam umr jo apne liye na mang saki
wo sab duaen tumhaare liye hi mangi hain
har ek dua mein tumhaara hi nam lab pe raha
har ek harf-e-mohabbat tumhaare nam raha
gai ruton ke hasin KHwab sath sath chale
Dagar Dagar pe tumhaara hi nam likhte chale
jo lauh-e-sada par ek bar tera nam likha
ghubar-e-gard-e-zamana use miTa na saka
ye aur baat ki ab ijtinab hai tujh se
ye aur baat ki dil ehtisab karta hai
ye aur baat ki harf-e-yaqin sard hue
ye aur baat ki lafzon ke phul zard hue
chahaar samt koi dhund phaili jati hai
talash mazi ke ujle KHayal kaise karun
tumhein manaun to meri ana ko choT lage
tumhein bhulaun to dil hi udas ho jae
ye sach hai sach hai gurezan rahe magar phir bhi
batao dil ki tapish kya kabhi hui mahsus
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.