ek shaer ek nazm
apne shahsavāroñ ko
qatl karne vāloñ se
ḳhūñ-bahā talab karnā
vārisoñ pe vājib thā
qātiloñ pe vājib thā
ḳhūñ-bahā adā karnā
vājibāt kī takmīl
munsifoñ pe vājib thī
munsifoñ kī nigrānī
qudsiyoñ pe vājib thī
vaqt kī adālat meñ
ek samt masnad thī
ek samt ḳhanjar thā
tāj-e-zar-nigār ik samt
ek samt lashkar thā
ik taraf muqaddar thā
tā.ife pukār uTThe
tāj-o-taḳht zindābād
sāz-o-raḳht zindābād
sāz-o-raḳht zindābād
ḳhalq ham se kahtī hai
saarā mājrā likkheñ
kis ne kis tarah paayā
apnā ḳhūñ-bahā likkheñ
chashm-e-nam se sharminda
ham qalam se sharminda
sochte haiñ
kyā likkheñ
apne shahsawaron ko
qatl karne walon se
KHun-baha talab karna
warison pe wajib tha
qatilon pe wajib tha
KHun-baha ada karna
wajibaat ki takmil
munsifon pe wajib thi
munsifon ki nigrani
qudsiyon pe wajib thi
waqt ki adalat mein
ek samt masnad thi
ek samt KHanjar tha
taj-e-zar-nigar ek samt
ek samt lashkar tha
ek taraf muqaddar tha
taife pukar uTThe
taj-o-taKHt zindabaad
saz-o-raKHt zindabaad
saz-o-raKHt zindabaad
KHalq hum se kahti hai
sara majra likkhen
kis ne kis tarah paya
apna KHun-baha likkhen
chashm-e-nam se sharminda
hum qalam se sharminda
sochte hain
kya likkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.