ek shaera ki shadi par
Interesting Fact
One who claimed she has,'come to the world only to lead the life of a poet'
ai ki thā uns tujhe ishq ke afsānoñ se
zindagānī tirī ābād thī rūmānoñ se
sher kī god meñ paltī thī javānī terī
tere sheroñ se ubaltī thī javānī terī
rashk-e-firdaus thā har husn bharā ḳhvāb tirā
ek pāmāl khilaunā thā ye mahtāb tirā
nik.hat-e-sher se mahkī huī rahtī thī sadā
nashshā-e-fikr meñ bahkī huī rahtī thī sadā
shirkat-e-ġhair se begāna the naġhme tere
ismat-e-hūr kā afsāna the naġhme tere
sher kī ḳhalvat-e-rañgīñ thī parī-ḳhāna tirā
mast ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ thā kāshāna tirā
ġhā.eb-az-chashm thī jannat kī bahāroñ kī tarah
dast-e-insāñ se thī mahfūz sitāroñ kī tarah
sohbat-e-ġhair se ghabrātī thī tanhā.ī tirī
ā.īñe se bhī to sharmātī thī tanhā.ī tirī
sub.h kī tarah se doshīza thī hastī terī
bū-e-gul kī tarah pākīza thī hastī terī
naġhma-o-sher ke firdaus meñ tū rahtī thī
yaksar ilhām o tarannum thā jo tū kahtī thī
tere ash.ār the jannat kī bahāroñ ke hujūm
tere afkār the zarrīn sitāroñ ke hujūm
dard-e-sherī ke ta.assur se to maġhmūm thī tū
āsmāñ kā magar ik ġhuncha-e-ma.asūm thī tū
mauj-e-kausar kā chhalaktā huā paimāna thī
ġhair hoñToñ ke tasavvur se bhī begāna thī
ab gavārā huī kyuuñ ġhair kī sohbat tujh ko
kyuuñ pasand aa ga.ī nā-jins kī shirkat tujh ko
auj-e-taqdīs ko pastī kī adā bhā ga.ī kyuuñ
terī tanhā.ī kī jannat pe ḳhizāñ chhā ga.ī kyuuñ
sher o rūmān ke vo ḳhvāb kahāñ haiñ tere
vo nuqūsh-e-gul-o-mahtāb kahāñ haiñ tere
kaun sī turfa adā bhā ga.ī is duniyā meñ
ḳhuld ko chhoḌ ke kyuuñ aa ga.ī is duniyā meñ
ho ga.ī aam tū nūr-e-mah-e-tābāñ kī tarah
aah kyuuñ jal na bujhī sham-e-shabistāñ kī tarah
apnī doshīza bahāroñ ko na khonā thā kabhī
vo kalī thī tū jise phuul na honā thā kabhī
iffateñ miT ke javānī ko miTā jaatī haiñ
phuul kumhlāte haiñ kaliyāñ kahīñ kumhlātī haiñ
bulbul-e-mast-navā dasht meñ kyuuñ rahne lagī
naġhma-e-tar kī jagah marsiya kyuuñ kahne lagī
havas-ālūda huī paak javānī terī
ġhair kī raat hai ab aur kahānī terī
kis ko ma.alūm thā tū is qadar arzāñ hogī
zīnat-e-mahfil o pāmāl-e-shabistāñ hogī
jazb-e-iffat kā mayassar thā jo irfāñ tujh ko
kyuuñ na marġhūb huā sheva-e-jānāñ tujh ko
tīrgī hirs kī hūroñ ko bhī bahkā hī ga.ī
tere bistar pe bhī āḳhir ko shikan aa hī ga.ī
ab nahīñ tujh meñ vo hūroñ kī sī iffat baaqī
huur thī tujh meñ, ga.ii, rah ga.ī aurat baaqī
haañ vo aurat jise bachchoñ kā fasāna kahiye
barbat-e-nafs kā ik fuhsh tarāna kahiye
jis meñ hai zahr ufūnat kā vo paimāna kaheñ
ik gunāhoñ kā bhabhaktā huā mai-ḳhāna kaheñ
nauha-ḳhvāñ apnī javāñ maut kā hone de mujhe
muskurā tū magar is haal pe rone de mujhe
ai ki tha uns tujhe ishq ke afsanon se
zindagani teri aabaad thi rumanon se
sher ki god mein palti thi jawani teri
tere sheron se ubalti thi jawani teri
rashk-e-firdaus tha har husn bhara KHwab tera
ek pamal khilauna tha ye mahtab tera
nikhat-e-sher se mahki hui rahti thi sada
nashsha-e-fikr mein bahki hui rahti thi sada
shirkat-e-ghair se begana the naghme tere
ismat-e-hur ka afsana the naghme tere
sher ki KHalwat-e-rangin thi pari-KHana tera
mast KHwabon ke jaziron mein tha kashana tera
ghaeb-az-chashm thi jannat ki bahaaron ki tarah
dast-e-insan se thi mahfuz sitaron ki tarah
sohbat-e-ghair se ghabraati thi tanhai teri
aaine se bhi to sharmati thi tanhai teri
subh ki tarah se doshiza thi hasti teri
bu-e-gul ki tarah pakiza thi hasti teri
naghma-o-sher ke firdaus mein tu rahti thi
yaksar ilham o tarannum tha jo tu kahti thi
tere ashaar the jannat ki bahaaron ke hujum
tere afkar the zarrin sitaron ke hujum
dard-e-sheri ke tassur se to maghmum thi tu
aasman ka magar ek ghuncha-e-masum thi tu
mauj-e-kausar ka chhalakta hua paimana thi
ghair honTon ke tasawwur se bhi begana thi
ab gawara hui kyun ghair ki sohbat tujh ko
kyun pasand aa gai na-jins ki shirkat tujh ko
auj-e-taqdis ko pasti ki ada bha gai kyun
teri tanhai ki jannat pe KHizan chha gai kyun
sher o ruman ke wo KHwab kahan hain tere
wo nuqush-e-gul-o-mahtab kahan hain tere
kaun si turfa ada bha gai is duniya mein
KHuld ko chhoD ke kyun aa gai is duniya mein
ho gai aam tu nur-e-mah-e-taban ki tarah
aah kyun jal na bujhi sham-e-shabistan ki tarah
apni doshiza bahaaron ko na khona tha kabhi
wo kali thi tu jise phul na hona tha kabhi
iffaten miT ke jawani ko miTa jati hain
phul kumhlate hain kaliyan kahin kumhlati hain
bulbul-e-mast-nawa dasht mein kyun rahne lagi
naghma-e-tar ki jagah marsiya kyun kahne lagi
hawas-aluda hui pak jawani teri
ghair ki raat hai ab aur kahani teri
kis ko malum tha tu is qadar arzan hogi
zinat-e-mahfil o pamal-e-shabistan hogi
jazb-e-iffat ka mayassar tha jo irfan tujh ko
kyun na marghub hua shewa-e-jaanan tujh ko
tirgi hirs ki huron ko bhi bahka hi gai
tere bistar pe bhi aaKHir ko shikan aa hi gai
ab nahin tujh mein wo huron ki si iffat baqi
hur thi tujh mein, gai, rah gai aurat baqi
han wo aurat jise bachchon ka fasana kahiye
barbat-e-nafs ka ek fuhsh tarana kahiye
jis mein hai zahr ufunat ka wo paimana kahen
ek gunahon ka bhabhakta hua mai-KHana kahen
nauha-KHwan apni jawan maut ka hone de mujhe
muskura tu magar is haal pe rone de mujhe
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.