ek sham
yuuñ to lamhoñ ke is tasalsul meñ
ab se pahle bhī umr kaTtī thī
mom-battī kī raushnī meñ nazar
hāfize ke varaq ulaTtī thī
ret ke sogvār Tīloñ par
chāñdnī raat bhar bhaTaktī thī
aaj lekin thake hue dil par
jism kā taar taar bhārī hai
shaam kī dam-ba-ḳhud havāoñ par
sub.h kā intizār bhārī hai
maqbaroñ se uThī huī āñdhī
Tahniyoñ se ulajh ke chaltī hai
ḳhushk palkoñ pe āñsuoñ kī umiid
pai-ba-pai karvaTeñ badaltī hai
ek ik aks saañs letā hai
ek ik yaad aañkh maltī hai
jaise sahrā meñ sar jhukā.e hue
hājiyoñ kī qatār chaltī hai
zard chiñgāriyoñ ke dāman meñ
yuuñ sulagtā hai sard ātish-dān
jaise bachchoñ kī bhuuk ke aage
ek nādār baap kā īmān
dam-ba-ḳhud ḳhāmushī meñ dhīre se
zard patte qadam uThāte haiñ
yaad ke kārvāñ añdhere meñ
ḳhvāb kī tarah sarsarāte haiñ
khiḌkiyoñ ke Dare hue chehre
apnī aahaT se kaañp jaate haiñ
dil kī qurbān gaah ke aage
ek TuuTā huā diyā bhī nahīñ
kisī pīpal ke narm saa.e meñ
koī patthar kā devtā bhī nahīñ
ruuh ke kāsa-e-gadā.ī ko
chaar TukḌoñ kā aasrā bhī nahīñ
lambī chauḌī saḌak ke dāman par
qumqume sahme sahme jalte haiñ
jaise aksar baḌe gharānoñ meñ
fāqa-kash rishta-dār palte haiñ
sochtā huuñ ki is dayār se duur
ek aisā bhī des hai jis kī
raat tāroñ meñ saj ke aa.egī
sub.h hogī to ghar ke goshoñ meñ
terī ma.asūm muskurāhaT kī
narm sī dhuup phail jā.egī
yun to lamhon ke is tasalsul mein
ab se pahle bhi umr kaTti thi
mom-batti ki raushni mein nazar
hafize ke waraq ulaTti thi
ret ke sogwar Tilon par
chandni raat bhar bhaTakti thi
aaj lekin thake hue dil par
jism ka tar tar bhaari hai
sham ki dam-ba-KHud hawaon par
subh ka intizar bhaari hai
maqbaron se uThi hui aandhi
Tahniyon se ulajh ke chalti hai
KHushk palkon pe aansuon ki umid
pai-ba-pai karwaTen badalti hai
ek ek aks sans leta hai
ek ek yaad aankh malti hai
jaise sahra mein sar jhukae hue
hajiyon ki qatar chalti hai
zard chingariyon ke daman mein
yun sulagta hai sard aatish-dan
jaise bachchon ki bhuk ke aage
ek nadar bap ka iman
dam-ba-KHud KHamushi mein dhire se
zard patte qadam uThate hain
yaad ke karwan andhere mein
KHwab ki tarah sarsaraate hain
khiDkiyon ke Dare hue chehre
apni aahaT se kanp jate hain
dil ki qurban gah ke aage
ek TuTa hua diya bhi nahin
kisi pipal ke narm sae mein
koi patthar ka dewta bhi nahin
ruh ke kasa-e-gadai ko
chaar TukDon ka aasra bhi nahin
lambi chauDi saDak ke daman par
qumqume sahme sahme jalte hain
jaise aksar baDe gharanon mein
faqa-kash rishta-dar palte hain
sochta hun ki is dayar se dur
ek aisa bhi des hai jis ki
raat taron mein saj ke aaegi
subh hogi to ghar ke goshon mein
teri masum muskurahaT ki
narm si dhup phail jaegi
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 67)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.