ek sham
qumqumoñ kī zahr ugaltī raushnī
sañg-dil pur-haul dīvāroñ ke saa.e
āhanī but dev-paikar ajnabī
chīḳhtī chiñghāḌtī ḳhūnīñ sarā.e
ruuh uljhī jā rahī hai kyā karūñ
chaar jānib irti.āsh-e-rañg-o-nūr
chaar jānib ajnabī bāñhoñ ke jaal
chaar jānib ḳhūñ-fishāñ parcham buland
maiñ mirī ġhairat mirā dast-e-savāl
zindagī sharmā rahī hai kyā karūñ
kār-gāh-e-zīst ke har moḌ par
rūh-e-chañgezī bar-afganda-naqāb
thaam ai sub.h jahān-e-nau kī zau
jaag ai mustaqbil-e-insāñ ke ḳhvāb
aas Duubī jā rahī hai kyā karūñ
qumqumon ki zahr ugalti raushni
sang-dil pur-haul diwaron ke sae
aahani but dew-paikar ajnabi
chiKHti chinghaDti KHunin sarae
ruh uljhi ja rahi hai kya karun
chaar jaanib irtiash-e-rang-o-nur
chaar jaanib ajnabi banhon ke jal
chaar jaanib KHun-fishan parcham buland
main meri ghairat mera dast-e-sawal
zindagi sharma rahi hai kya karun
kar-gah-e-zist ke har moD par
ruh-e-changezi bar-afganda-naqab
tham ai subh jahan-e-nau ki zau
jag ai mustaqbil-e-insan ke KHwab
aas Dubi ja rahi hai kya karun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 99)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.