ek shab ka musafir
mujhe kyā ḳhabar thī
ki tum merī uñglī pakaḌ kar chalogī
shab kī tārīk sarhad se
bāhar nikalte hī
din ke ujāle meñ
pahlā qadam rakhte hī
muskurā kar kahogī
dekhiye shukriya
ab yahāñ se maiñ
sūraj kī kirnoñ ke hamrāh
ḳhud hī chalī jā.ūñgī
aur maiñ
muḌ ke dekhūñgā un rāstoñ ko
jo yuuñ shab-zada ho chuke hoñ
ki apnā pata kho chuke hoñ
mujhe kya KHabar thi
ki tum meri ungli pakaD kar chalogi
shab ki tarik sarhad se
bahar nikalte hi
din ke ujale mein
pahla qadam rakhte hi
muskura kar kahogi
dekhiye shukriya
ab yahan se main
suraj ki kirnon ke hamrah
KHud hi chali jaungi
aur main
muD ke dekhunga un raston ko
jo yun shab-zada ho chuke hon
ki apna pata kho chuke hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.