ek shahr-ashob ka aaghaz
ab bazm-e-suḳhan sohbat-e-lab-soḳhtagāñ hai
ab halqa-e-mai tā.efā-e-be-talabāñ hai
ghar rahiye to vīrāni-e-dil khāne ko aave
rah chaliye to har gaam pe ġhauġhā-e-sagāñ hai
paivand-e-rah-e-kūcha-e-zar chashm-e-ġhazālāñ
pābos-e-havas afsar-e-shamshād-qadāñ hai
yaañ ahl-e-junūñ yak-ba-digar dast-o-girebāñ
vaañ jaish-e-havas teġh-ba-kaf darpa-e-jāñ hai
ab sāhab-e-insāf hai ḳhud tālib-e-insāf
mohr us kī hai mīzān ba-dast-e-digrāñ hai
ham sahal-talab kaun se farhād the lekin
ab shahr meñ tere koī ham sā bhī kahāñ hai
ab bazm-e-suKHan sohbat-e-lab-soKHtagan hai
ab halqa-e-mai taefa-e-be-talaban hai
ghar rahiye to virani-e-dil khane ko aawe
rah chaliye to har gam pe ghaugha-e-sagan hai
paiwand-e-rah-e-kucha-e-zar chashm-e-ghazalan
pabos-e-hawas afsar-e-shamshad-qadan hai
yan ahl-e-junun yak-ba-digar dast-o-gireban
wan jaish-e-hawas tegh-ba-kaf darpa-e-jaan hai
ab sahab-e-insaf hai KHud talib-e-insaf
mohr us ki hai mizan ba-dast-e-digran hai
hum sahal-talab kaun se farhad the lekin
ab shahr mein tere koi hum sa bhi kahan hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 417)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.