ek sharminda nazm
kin harfoñ kī tafhīm karūñ
kin rañgoñ kī tajsīm karūñ
kis raah chalūñ aur chaltā jā.ūñ khulā nahīñ
abhī darvāza to khulā nahīñ
kis phuul kī mad.h likhūñ
ai harf-e-sahar-āsār ai yaum-e-āzādī
maiñ ne to nahīñ dekhā
tire lams se kaun sā sañg gulāb huā aa.ina aab huā
is baaġh meñ kaun sī musht-e-ḳhāk khulī ḳhushbū āzād huī
be-bas aur saat bahāreñ aur ḳhizā.eñ
ek hī mausam kī ajrak maiñ dekh chukā huuñ
lekin maiñ ne vo din kis din dekhā hai
jab āñkheñ rauzan chhoḌ ke phūloñ kī kyārī meñ bas jaatī haiñ koyal gaatī hai
koyal gaatī hai
jhūle paḌte haiñ bāġhoñ meñ
husn se reza reza vasl Tapaktā hai
maiñ ne kab dekhā hai
abhī darvāza to khulā nahīñ
abhī darvāza to khulā nahīñ
darvāza khule to maiñ bhī qalam meñ taaza havā kī siyāhī bhar luuñ aur ik ḳhat likhūñ
maiñ tere pate par ḳhat likhūñ
tū apnā ta.āruf bhej maiñ tujh par ik pyārī sī nazm likhūñ
ki sunā hai tū bhī pyārā sā ik lams hai
ik lamha hai
lekin maiñ ne tujhe kab chakhā sūñghā dekhā sunā mahsūs kiyā hai
jab se maiñ jaagā huuñ
tū to jantriyoñ meñ morcha-band hai soyā huā hai
jaag ai nādīda saa.at
ai sadiyoñ kā andoh liye lamhe ab mujh par bhī muTThī bhar sahar chhiḌak
bas ek jhalak dikhlā
terī ek jhalak
mire pāñch havās kī baḳhiya baḳhiya udhḌī jholī sī bhī degī bhar bhī degī
phir maiñ tujh par ik lā-fānī nazm likhūñgā
tujhe sunāne ā.ūñgā
kin harfon ki tafhim karun
kin rangon ki tajsim karun
kis rah chalun aur chalta jaun khula nahin
abhi darwaza to khula nahin
kis phul ki madh likhun
ai harf-e-sahar-asar ai yaum-e-azadi
main ne to nahin dekha
tere lams se kaun sa sang gulab hua aaina aab hua
is bagh mein kaun si musht-e-KHak khuli KHushbu aazad hui
be-bas aur sat bahaaren aur KHizaen
ek hi mausam ki ajrak main dekh chuka hun
lekin main ne wo din kis din dekha hai
jab aankhen rauzan chhoD ke phulon ki kyari mein bas jati hain koyal gati hai
koyal gati hai
jhule paDte hain baghon mein
husn se reza reza wasl Tapakta hai
main ne kab dekha hai
abhi darwaza to khula nahin
abhi darwaza to khula nahin
darwaza khule to main bhi qalam mein taza hawa ki siyahi bhar lun aur ek KHat likhun
main tere pate par KHat likhun
tu apna taaruf bhej main tujh par ek pyari si nazm likhun
ki suna hai tu bhi pyara sa ek lams hai
ek lamha hai
lekin main ne tujhe kab chakha sungha dekha suna mahsus kiya hai
jab se main jaga hun
tu to jantriyon mein morcha-band hai soya hua hai
jag ai nadida saat
ai sadiyon ka andoh liye lamhe ab mujh par bhi muTThi bhar sahar chhiDak
bas ek jhalak dikhla
teri ek jhalak
mere panch hawas ki baKHiya baKHiya udhDi jholi si bhi degi bhar bhi degi
phir main tujh par ek la-fani nazm likhunga
tujhe sunane aaunga
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 488)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.