ek si do baaten
vaqt
kisī kā intizār nahīñ kartā
tezī se guzar jaatā hai
vaqt
chhipkalī kī tarah
dīvār par chipak kar rah gayā hai
ye donoñ bāteñ alag haiñ
phir bhī ek sī lagtī haiñ
maiñ ne in donoñ bātoñ ko
apnī do alag alag jeboñ meñ rakh liyā hai
jab ye donoñ jeb se
nikal jā.eñgī
tab sochūñgā
zindagī kyā hai
waqt
kisi ka intizar nahin karta
tezi se guzar jata hai
waqt
chhipkali ki tarah
diwar par chipak kar rah gaya hai
ye donon baaten alag hain
phir bhi ek si lagti hain
main ne in donon baaton ko
apni do alag alag jebon mein rakh liya hai
jab ye donon jeb se
nikal jaengi
tab sochunga
zindagi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.