ek sitara TuT gira tha
ḳhvāboñ kī sarhad pe
niilā niilā ek samundar
terī āñkhoñ jaisā
lahroñ ke nezoñ pe bahtī
jagmag jagmag chāñd sī raushan
apne pyaar kī kashtī
saat samundar se bhī duur
tūfānoñ se kheltī
jal pariyoñ se bāteñ kartī
vāpas lauT aa.ī to
sāhil kī chamkīlī ret meñ
ek sitāra TuuT girā thā
KHwabon ki sarhad pe
nila nila ek samundar
teri aankhon jaisa
lahron ke nezon pe bahti
jagmag jagmag chand si raushan
apne pyar ki kashti
sat samundar se bhi dur
tufanon se khelti
jal pariyon se baaten karti
wapas lauT aai to
sahil ki chamkili ret mein
ek sitara TuT gira tha
- Book : aazaadii ke baad urdu nazm (Pg. 729)
- Author : shamiim hanfii
- Publication : national council for promotion of urdu language
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.