magar be-zā.iqa hoñToñ se
tum ne saḳht chaTTānoñ ko chūmā thā
vo un kī khurdurāhaT nok niklī chhātiyāñ
tezābiyat namkīn kaa.ī
sab kī lazzat se rahe nā-āshnā bachche tumhāre
isī baa.is to un ke jism meñ ḳhuuñ kī jagah paanī kī gardish hai
isī baa.is vo apnī nafratoñ ke ḳhud hadaf haiñ
aur dushman un pe hañste haiñ
magar be-zaiqa honTon se
tum ne saKHt chaTTanon ko chuma tha
wo un ki khurdurahaT nok nikli chhatiyan
tezabiyat namkin kai
sab ki lazzat se rahe na-ashna bachche tumhaare
isi bais to un ke jism mein KHun ki jagah pani ki gardish hai
isi bais wo apni nafraton ke KHud hadaf hain
aur dushman un pe hanste hain
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 195)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.