ek surma ke nam
aane vaale din ke āḳhir par
sūraj TuuTī huī Dhaal kī tarah
ufuq par chaspāñ ek hunūt kiyā huā sar
kisī sūrmā kā
jo vaqt se haar gayā!
bagūle aisī havā aur ek rañgā huā ghoḌā
lahū-luhān dil hamesha ghaḌ letā hai ek duniyā apne liye
mohabbat kahīñ ziyāda saffāk hai nafrat se
kyūñ-ki ye achhūtī aur ujlī hai
us sitāre kī tarah
jo kanda hai ek muqaddas qurbāñ-gāh kī chhat par
zindagī! hasht!
haañ magar maut ek pul hai shikasta aur charcharāta
abdiyat ke bojh-tale
kahāñ hai tumhārā rath jo
tārīḳh se ziyāda tez chaltā hai
aur kahāñ hai tumhārā jhanDā
jis kā saayā
zamīn par nahīñ paḌtā
aane wale din ke aaKHir par
suraj TuTi hui Dhaal ki tarah
ufuq par chaspan ek hunut kiya hua sar
kisi surma ka
jo waqt se haar gaya!
bagule aisi hawa aur ek ranga hua ghoDa
lahu-luhan dil hamesha ghaD leta hai ek duniya apne liye
mohabbat kahin ziyaada saffak hai nafrat se
kyun-ki ye achhuti aur ujli hai
us sitare ki tarah
jo kanda hai ek muqaddas qurban-gah ki chhat par
zindagi! hasht!
han magar maut ek pul hai shikasta aur charcharaata
abdiyat ke bojh-tale
kahan hai tumhaara rath jo
tariKH se ziyaada tez chalta hai
aur kahan hai tumhaara jhanDa
jis ka saya
zamin par nahin paDta
- Book : andhi ka rajz (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.