ek taswir
sub.h kī dhuup
dhulī shaam kā ruup
fāḳhtāoñ kī tarah soch meñ Duube tālāb
ajnabī shahr ke ākāsh
añdheroñ kī kitāb
pāThshālā meñ chahakte hue ma.asūm gulāb
ghar ke āñgan kī mahak
bahte paanī kī khanak
saat rañgoñ kī dhanak
tum ko dekhā to nahīñ hai
lekin
merī tanhā.ī meñ
ye rañg-birañge manzar
jo bhī tasvīr banāte haiñ
vo!
tum jaisī hai
subh ki dhup
dhuli sham ka rup
faKHtaon ki tarah soch mein Dube talab
ajnabi shahr ke aakash
andheron ki kitab
paThshaala mein chahakte hue masum gulab
ghar ke aangan ki mahak
bahte pani ki khanak
sat rangon ki dhanak
tum ko dekha to nahin hai
lekin
meri tanhai mein
ye rang-birange manzar
jo bhi taswir banate hain
wo!
tum jaisi hai
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 272)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.