koh se zarrīñ aziyyat ke guzar jaane ke ba.ad
surḳh naġhma shaam kā ik pal meñ mar jaane ke ba.ad
haañ pas-az-fariyād-o-qalb-e-dahr kī larzish ke ba.ad
din kī tum ālūd-zard-o-lāla-gūñ kāvish ke ba.ad
tīrgī ke dāġh-e-dil se kis tarah dho.uñgā maiñ
jāgte hī jāgte phir sub.h tak ro.uñgā maiñ
haañ vahī maiñ din ko jis kī aañkh thī aur āftāb
haañ vahī maiñ jis ne dekhā dahr labrez-e-hayāt
zehan-e-insānī mirā kahtā hai khā kar pech-o-tāb
dekh le husn-e-manāzir ko nahīñ hāsil sabāt
qalb maiḳhāne kī hā-o-hū kā aadī hai mirā
kuchh ta.alluq hī nahīñ mujh ko sukūn-e-sañg se
mujh ko ḳhush aatī nahīñ hai amn kī shab-gūñ fazā
ruuh ko taskīñ milegī ek paiham jañg se
koh se zarrin aziyyat ke guzar jaane ke baad
surKH naghma sham ka ek pal mein mar jaane ke baad
han pas-az-fariyaad-o-qalb-e-dahr ki larzish ke baad
din ki tum aalud-zard-o-lala-gun kawish ke baad
tirgi ke dagh-e-dil se kis tarah dhounga main
jagte hi jagte phir subh tak rounga main
han wahi main din ko jis ki aankh thi aur aaftab
han wahi main jis ne dekha dahr labrez-e-hayat
zehan-e-insani mera kahta hai kha kar pech-o-tab
dekh le husn-e-manazir ko nahin hasil sabaat
qalb maiKHane ki ha-o-hu ka aadi hai mera
kuchh talluq hi nahin mujh ko sukun-e-sang se
mujh ko KHush aati nahin hai amn ki shab-gun faza
ruh ko taskin milegi ek paiham jang se
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 10)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.