ek tha raja chhoTa sa
Interesting Fact
Ali Iftikhar is the poet's son
'alī-iftiḳhār' kī maañ se maiñ ne batā diyā hai ki apne beTe ko
titliyoñ ke qarīb jaane se rokiye
use rokiye ki paḌosiyoñ ke gharoñ meñ jhūle paḌe hue haiñ to us se kyā
use kyā paḌī ki kabūtaroñ ko batā.e kaise havā.eñ us kī patañg chhīn ke le ga.iiñ
'alī-iftiḳhār' kī maañ se maiñ ne batā diyā hai ki apne beTe
ko titliyoñ ke qarīb jaane se rokiye
kahīñ yuuñ na ho ki phir ek baar bharī bahār meñ e'tibār ke saare zaḳhm mahak uTheñ
kahīñ yuuñ na ho ki na.e sire se hamāre zaḳhm mahak uTheñ
'alī-iftiḳhār' kī maañ se maiñ ne batā diyā hai ki apne beTe ko
titliyoñ ke qarīb jaane se rokiye
'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe ko
titliyon ke qarib jaane se rokiye
use rokiye ki paDosiyon ke gharon mein jhule paDe hue hain to us se kya
use kya paDi ki kabutaron ko batae kaise hawaen us ki patang chhin ke le gain
'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe
ko titliyon ke qarib jaane se rokiye
kahin yun na ho ki phir ek bar bhari bahaar mein e'tibar ke sare zaKHm mahak uThen
kahin yun na ho ki nae sire se hamare zaKHm mahak uThen
'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe ko
titliyon ke qarib jaane se rokiye
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 270)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.