ye jī chāhtā hai ki tum ek nannhī sī laḌkī ho aur ham tumheñ god meñ le ke apnī biThā leñ
yūñhī cīḳho chillāo hañs do yūñhī haath uThāo havā meñ hilāo hilā kar girā do
kabhī aise jaise koī baat kahne lagī ho
kabhī aise jaise na boleñge tum se
kabhī muskurāte hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karo aisī bāteñ
hameñ sarsarātī havā yaad aa.e
jo gunjān peḌoñ kī shāḳhoñ se Takrā.e dil ko anokhī pahelī bujhā.e magar vo pahelī samajh meñ na aa.e
koī sard chashma ubaltā huā aur machaltā huā yaad aa.e
jo ho dekhne meñ Tapaktī huī chand būñdeñ
magar apnī had se baḌhe to bane ek naddī bane ek dariyā bane ek sāgar
ye jī chāhtā hai ki ham aise sāgar kī lahroñ pe aisī havā se bahā.eñ vo kashtī jo bahtī nahīñ hai
musāfir ko lekin bahātī chalī jaatī hai aur palaT kar nahīñ aatī hai ek gahre sakūñ se milātī chalī jaatī hai
ye jī chāhtā hai ki ham bhī yūñhī chīḳheñ chillā.eñ hañs deñ yūñhī haath uThā.eñ
havā meñ hilā.eñ hilā kar girā deñ
kabhī aise jaise koī baat kahne lage haiñ
magar tum hameñ god meñ le ke apnī biThā lo
machalne lageñ to sambhālo
kabhī muskurāte hue shor karte hue phir gale se lipaT kar kareñ aisī bāteñ
tumheñ sarsarātī havā yaad aa.e
vahī sarsarātī havā jis ke mīThe fusūñ se dupaTTa phisal jaatā hai
vahī sarsarātī havā jo har anjān aurat ke bikhre hue gesuoñ ko
kisī so.e jañgal pe ganghor kaalī ghaTā kā nayā bhes de kar
jagā detī hai
tumheñ sarsarātī havā yaad aa.e
hameñ sarsarātī havā yaad aa.e
ye jī chāhtā hai
magar apnī had se baḌhe to har ik shai bane ek naddī bane ek dariyā bane ek sāgar
vo sāgar jo bahte musāfir ko aage bahātā nahīñ hai jhakole diye jaatā hai bas
jhakole diye jaatā hai
aur phir jī hī jī meñ musāfir ye kahtā hai apnī kahānī na.ī to nahīñ hai
purānī kahānī meñ kyā lutf aa.e
hameñ aaj kis ne kahā thā purānī kahānī sunāo
ye ji chahta hai ki tum ek nannhi si laDki ho aur hum tumhein god mein le ke apni biTha len
yunhi ciKHo chillao hans do yunhi hath uThao hawa mein hilao hila kar gira do
kabhi aise jaise koi baat kahne lagi ho
kabhi aise jaise na bolenge tum se
kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karo aisi baaten
hamein sarsaraati hawa yaad aae
jo gunjaan peDon ki shaKHon se Takrae dil ko anokhi paheli bujhae magar wo paheli samajh mein na aae
koi sard chashma ubalta hua aur machalta hua yaad aae
jo ho dekhne mein Tapakti hui chand bunden
magar apni had se baDhe to bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar
ye ji chahta hai ki hum aise sagar ki lahron pe aisi hawa se bahaen wo kashti jo bahti nahin hai
musafir ko lekin bahati chali jati hai aur palaT kar nahin aati hai ek gahre sakun se milati chali jati hai
ye ji chahta hai ki hum bhi yunhi chiKHen chillaen hans den yunhi hath uThaen
hawa mein hilaen hila kar gira den
kabhi aise jaise koi baat kahne lage hain
magar tum hamein god mein le ke apni biTha lo
machalne lagen to sambhaalo
kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karen aisi baaten
tumhein sarsaraati hawa yaad aae
wahi sarsaraati hawa jis ke miThe fusun se dupaTTa phisal jata hai
wahi sarsaraati hawa jo har anjaan aurat ke bikhre hue gesuon ko
kisi soe jangal pe ganghor kali ghaTa ka naya bhes de kar
jaga deti hai
tumhein sarsaraati hawa yaad aae
hamein sarsaraati hawa yaad aae
ye ji chahta hai
magar apni had se baDhe to har ek shai bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar
wo sagar jo bahte musafir ko aage bahata nahin hai jhakole diye jata hai bas
jhakole diye jata hai
aur phir ji hi ji mein musafir ye kahta hai apni kahani nai to nahin hai
purani kahani mein kya lutf aae
hamein aaj kis ne kaha tha purani kahani sunao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.