ek udas sham ke nam
ajiib log haiñ
ham ahl-e-e'tibār kitne bad-nasīb log haiñ
jo raat jāgne kī thī vo saarī raat
ḳhvāb dekh dekh kar guzārte rahe
jo naam bhūlne kā thā us ek naam ko
galī galī pukārte rahe
jo khel jītne kā thā vo khel hārte rahe
ajiib log haiñ
ham ahl-e-e'tibār kitne bad-nasīb log haiñ
kisī se bhī to qarz-e-ābrū adā nahīñ huā
lahū-luhān sā.atoñ kā faisla nahīñ huā
baras guzar ga.e haiñ koī mo.ajaza nahīñ huā
vo jal-bujhā ki aag jis ke shola-e-nafas meñ thī
vo tiir khā gayā kamān jis kī dastaras meñ thī
sipāh-e-mahr kā fasīl-e-shab ko intizār hai
kab aa.egā vo shaḳhs jis kā sab ko intizār hai
ham ahl-e-e'tibār kitne bad-nasīb log haiñ
ajiib log haiñ
ham ahl-e-e'tibār kitne bad-nasīb log haiñ
TO A DESPONDENT EVENING
ajib log hain
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
jo raat jagne ki thi wo sari raat
KHwab dekh dekh kar guzarte rahe
jo nam bhulne ka tha us ek nam ko
gali gali pukarte rahe
jo khel jitne ka tha wo khel haarte rahe
ajib log hain
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
kisi se bhi to qarz-e-abru ada nahin hua
lahu-luhan saaton ka faisla nahin hua
baras guzar gae hain koi moajaza nahin hua
wo jal-bujha ki aag jis ke shola-e-nafas mein thi
wo tir kha gaya kaman jis ki dastaras mein thi
sipah-e-mahr ka fasil-e-shab ko intizar hai
kab aaega wo shaKHs jis ka sab ko intizar hai
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
ajib log hain
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
TO A DESPONDENT EVENING
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 481)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.