ek waqia
ḳhush-bū kā ik jhoñkā aayā
us ne muḌ kar dekhā
nañge baazū ubhrā siina
gorī siDaul thiraktī rāneñ
minī-skirt, chīḳhtā jism
gol machaltī rāneñ
us ne ġhaur se dekhā
laboñ se niklī siskārī sī
cigarette ik sulgāyā
ulTī samt ko bhāgte khetoñ
aur khamboñ ko dekhā
sab be kaar hai koī bolā
chīḳheñ, lazzat, nasha
nafrat, lazzat, nasha
logoñ ne jab alag kiyā to
dekhā
garm raan meñ ḳhuun ke qatre
thar thar kaañp rahe the
aur muñh meñ lage ḳhuun ko vo
paiham chaaT rahā thā
KHush-bu ka ek jhonka aaya
us ne muD kar dekha
nange bazu ubhra sina
gori siDaul thirakti ranen
mini-skirt, chiKHta jism
gol machalti ranen
us ne ghaur se dekha
labon se nikli siskari si
cigarette ek sulgaya
ulTi samt ko bhagte kheton
aur khambon ko dekha
sab be kar hai koi bola
chiKHen, lazzat, nasha
nafrat, lazzat, nasha
logon ne jab alag kiya to
dekha
garm ran mein KHun ke qatre
thar thar kanp rahe the
aur munh mein lage KHun ko wo
paiham chaT raha tha
- Book : shab-khoon(web site) (Pg. 68)
- Edition : (24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.