ek waqt mein ek kaam
hai kaam ke vaqt kaam achchhā
aur khel ke vaqt khel zebā
jab kaam kā vaqt ho karo kaam
bhūle se bhī khel kā na lo naam
haañ khel ke vaqt ḳhuub khelo
kuudo phāñdo ki DañD pelo
ḳhush rahne kā hai yahī tarīqa
har baat kā sīkhiye salīqa
himmat ko na hāriyo ḳhudā-rā
mat DhūñDiyo ġhair kā sahārā
apnī himmat se kaam karnā
mushkil ho to chāhiye na Darnā
jo kuchh ho so apne dam qadam se
kyā kaam hai ġhair ke karam se
mat chhoḌiyo kaam ko adhūrā
be-kār hai jo huā na puurā
har vaqt maiñ sirf ek hī kaam
pā saktā hai behtarī se anjām
jab kaam meñ kaam aur chheḌā
donoñ hī meñ paḌ gayā bakheḌā
jo vaqt guzar gayā akārat
afsos! huā ḳhazāna ġhārat
hai kaam ke vaqt kaam achchhā
aur khel ke vaqt khel zebā
hai kaam ke waqt kaam achchha
aur khel ke waqt khel zeba
jab kaam ka waqt ho karo kaam
bhule se bhi khel ka na lo nam
han khel ke waqt KHub khelo
kudo phando ki DanD pelo
KHush rahne ka hai yahi tariqa
har baat ka sikhiye saliqa
himmat ko na haariyo KHuda-ra
mat DhunDiyo ghair ka sahaara
apni himmat se kaam karna
mushkil ho to chahiye na Darna
jo kuchh ho so apne dam qadam se
kya kaam hai ghair ke karam se
mat chhoDiyo kaam ko adhura
be-kar hai jo hua na pura
har waqt main sirf ek hi kaam
pa sakta hai behtari se anjam
jab kaam mein kaam aur chheDa
donon hi mein paD gaya bakheDa
jo waqt guzar gaya akarat
afsos! hua KHazana ghaarat
hai kaam ke waqt kaam achchha
aur khel ke waqt khel zeba
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.