ek viran si KHamoshi mein
ek vīrān sī ḳhamoshī meñ
koī saaya sā sarsarātā hai
ġham kī sunsān kaalī rātoñ meñ
duur ik diip TimTimātā hai
goyā tere marīz-e-ulfat kā
saañs siine meñ tham ke aatā hai
mere ashkoñ ke aa.ine meñ aaj
kaun hai vo jo muskurātā hai
kaun dastak sī detā rahtā hai
kaisā paiġhām aatā jaatā hai
ek gumnām rāste kā nishāñ
lamha lamha kise bulātā hai
kyoñ ik ajnabī sadā pe naaz
ruuh kā har taar jhanjhanātā hai
shaam kā ye udaas sannāTā
nahīñ mālūm ye dhuāñ kyoñ hai
dhuñdalkā dekh baḌhtā jaatā hai
dil to ḳhush hai ki jaltā jaatā hai
ek viran si KHamoshi mein
koi saya sa sarsaraata hai
gham ki sunsan kali raaton mein
dur ek dip TimTimata hai
goya tere mariz-e-ulfat ka
sans sine mein tham ke aata hai
mere ashkon ke aaine mein aaj
kaun hai wo jo muskuraata hai
kaun dastak si deta rahta hai
kaisa paigham aata jata hai
ek gumnam raste ka nishan
lamha lamha kise bulata hai
kyon ek ajnabi sada pe naz
ruh ka har tar jhanjhanata hai
sham ka ye udas sannaTa
nahin malum ye dhuan kyon hai
dhundalka dekh baDhta jata hai
dil to KHush hai ki jalta jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.