ek zati nazm
maiñ aksar dekhne jaatā thā us ko jis kī maañ martī
aur apne dil meñ kahtā thā ye kaisā shaḳhs? hai ab bhī
jiye jaatā hai āḳhir kaun us ke ghar meñ hai jis ke
liye ye saḳhtiyāñ sahtā hai taklīfeñ uThātā hai
thakan din kī sameTe shab ko ghar jaane pe kaun us ke
liye dahlīz par baiThā... duā kī mish.aleñ dil meñ
jalā.e... dīda-e-be-ḳhvāb kī har raah darvāze
kī darzoñ se nikālegā... ḳhudā kī mehrbānī ik
haqīqat hī sahī kuchh qahr-ālūda bhī hai... jo us
kī nā-farmā.iyoñ karte haiñ un ke vāste us ne
dahaktī aag bhī tayyār rakkhī hai... dil-e-kāfir
meñ us kī mehrbānī aur rahmat kā tasavvur bhī
jab aayā māmtā ke lafz kī sūrat meñ aayā hai
mirī vīrān āñkhoñ ne phir aisā vaqt bhī dekhā
ki sūraj jal rahā thā raushnī manzar se ġhā.eb thī
ḳhudā zinda thā lekin us kī rahmat sar se ġhā.eb thī
unhī āñkhoñ meñ mere ḳhairiyat se lauT aane par
na thā ashk-e-masarrat bhii... ki merī raah taknā jin
kī bīnā.ī kā masraf thaa... vo lab do chaar din pahle
mire māthe pe ho kar sabt jo kahte the'' tum jaao
tumhārī naukrī kī baat hai beTe! maiñ achchhī huuñ
mujhe ab jaan kā ḳhatra nahīñ hai aur agar kuchh ho
gayā to ham tumheñ fauran bulā leñge chale jāo''
(agar mar jā.ūñ maiñ to sabr kar lenaa... ḳhudā-hāfiz)
magar ye baat 'qāsir' in laboñ se kab sunī maiñ ne
ise ma.alūm thā shāyad ki maa.eñ mar nahīñ saktīñ
dil-e-aulād meñ ik yaad ban kar zinda rahtī haiñ
bulāyā to gayā mujh ko magar vo lab? kahāñ vo lab?
mire fāqa-zada bachpan ko nīndoñ se gureazāñ, pā
ke jo pariyoñ ke afsāne sunāte the to maiñ ḳhvāboñ
meñ ḳhud ko un ke dastar-ḳhvānoñ par maujūd paatā thā
sakat baaqī nahīñ hai un laboñ meñ aaj itnī bhī
ki merī ḳhātir ik harf-e-duā kā bojh uThā lete
mujhe jo dekhne aate haiñ kahte haiñ maiñ zinda huuñ
maiñ khātā huuñ ki ye bhī zindagī kī ik zarūrat hai
magar har zā.iqe meñ ek talḳhī kā izāfa hai
kisī dīvār kā saaya ho yā ho peḌ kī chhāñv
mirā jism-e-barhana chhedtī rahtī haiñ kirneñ ab
huā vo haath ġhā.eb jo ki merī zaat par hote
hue har vaar ko baḌh baḌh ke ḳhud par rok letā thā
duā ko haath uThātā huuñ duā.eñ us kī ḳhātir haiñ
maiñ goyā huuñ ki merī sab sadā.eñ us kī ḳhātir haiñ
mohabbat us kī ḳhātir hai vafā.eñ us kī ḳhātir haiñ
ki merī ibtidā.eñ, intihā.eñ us kī ḳhātir haiñ
main aksar dekhne jata tha us ko jis ki man marti
aur apne dil mein kahta tha ye kaisa shaKHs? hai ab bhi
jiye jata hai aaKHir kaun us ke ghar mein hai jis ke
liye ye saKHtiyan sahta hai taklifen uThata hai
thakan din ki sameTe shab ko ghar jaane pe kaun us ke
liye dahliz par baiTha dua ki mishalen dil mein
jalae dida-e-be-KHwab ki har rah darwaze
ki darzon se nikalega KHuda ki mehrbani ek
haqiqat hi sahi kuchh qahr-aluda bhi hai jo us
ki na-farmaiyon karte hain un ke waste us ne
dahakti aag bhi tayyar rakkhi hai dil-e-kafir
mein us ki mehrbani aur rahmat ka tasawwur bhi
jab aaya mamta ke lafz ki surat mein aaya hai
meri viran aankhon ne phir aisa waqt bhi dekha
ki suraj jal raha tha raushni manzar se ghaeb thi
KHuda zinda tha lekin us ki rahmat sar se ghaeb thi
unhi aankhon mein mere KHairiyat se lauT aane par
na tha ashk-e-masarrat bhi ki meri rah takna jin
ki binai ka masraf tha wo lab do chaar din pahle
mere mathe pe ho kar sabt jo kahte the tum jao
tumhaari naukri ki baat hai beTe! main achchhi hun
mujhe ab jaan ka KHatra nahin hai aur agar kuchh ho
gaya to hum tumhein fauran bula lenge chale jao
(agar mar jaun main to sabr kar lena KHuda-hafiz)
magar ye baat 'qasir' in labon se kab suni main ne
ise malum tha shayad ki maen mar nahin saktin
dil-e-aulad mein ek yaad ban kar zinda rahti hain
bulaya to gaya mujh ko magar wo lab? kahan wo lab?
mere faqa-zada bachpan ko nindon se gureazan, pa
ke jo pariyon ke afsane sunate the to main KHwabon
mein KHud ko un ke dastar-KHwanon par maujud pata tha
sakat baqi nahin hai un labon mein aaj itni bhi
ki meri KHatir ek harf-e-dua ka bojh uTha lete
mujhe jo dekhne aate hain kahte hain main zinda hun
main khata hun ki ye bhi zindagi ki ek zarurat hai
magar har zaiqe mein ek talKHi ka izafa hai
kisi diwar ka saya ho ya ho peD ki chhanw
mera jism-e-barhana chhedti rahti hain kirnen ab
hua wo hath ghaeb jo ki meri zat par hote
hue har war ko baDh baDh ke KHud par rok leta tha
dua ko hath uThata hun duaen us ki KHatir hain
main goya hun ki meri sab sadaen us ki KHatir hain
mohabbat us ki KHatir hai wafaen us ki KHatir hain
ki meri ibtidaen, intihaen us ki KHatir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.