ek zabt-shuda poster
ḳhvāb hamārī galiyoñ ke gande paanī par
machchhar-mār davā.eñ haiñ
bāvarchī-ḳhānoñ meñ
aaTe ghī aur tel ke ḳhālī Dabbe
aane vaalī nasloñ kī āñkheñ haiñ
bhuuk hamāre āñgan kī raqqāsa hai
pyaas hamārā tārīḳhī virsa hai
tahrīreñ paḌhne vālo!
lafz nisāboñ ke qaidī haiñ
ta.abīreñ DhūñDne vālo!
ham sab an-dekhe ḳhvāboñ ke qaidī haiñ!!
KHwab hamari galiyon ke gande pani par
machchhar-mar dawaen hain
bawarchi-KHanon mein
aaTe ghi aur tel ke KHali Dabbe
aane wali naslon ki aankhen hain
bhuk hamare aangan ki raqqasa hai
pyas hamara tariKHi wirsa hai
tahriren paDhne walo!
lafz nisabon ke qaidi hain
tabiren DhunDne walo!
hum sab an-dekhe KHwabon ke qaidi hain!!
- Book : Pani mein gum khawab (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.