ek zan-e-KHana-ba-dosh
tum ne dekhī hai kabhī ek zan-e-ḳhāna-ba-dosh
jis ke ḳheme se pare raat kī tārīkī meñ
gursana bheḌiye ġhurrāte haiñ
duur se aatī hai jab us kī lahū kī ḳhushbū
sansanātī haiñ darindoñ kī hañsī
aur dāñtoñ meñ kasak hotī hai
ki kareñ us kā badan sad-pāra
apne ḳheme meñ simaT kar aurat
raat āñkhoñ meñ bitā detī hai
kabhī kartī hai alaao raushan
bheḌiye duur bhagāne ke liye
kabhī kartī hai ḳhayāl
tez nukīlā jo auzār kahīñ mil jaa.e
to banā le hathiyār
us ke ḳheme meñ bhalā kyā hogā
TuuTe phūTe hue bartan do-chār
dil ke bahlāne ko shāyad ye ḳhayāl aate haiñ
us ko mālūm hai shāyad na sahar ho paa.e
sote bachchoñ pe jamā.e nazreñ
kaan aahaT pe dhare baiThī hai
haañ dhyān us kā jo baT jaa.e kabhī
gungunātī hai koī bisrā giit
kisī banjāre kā
tum ne dekhi hai kabhi ek zan-e-KHana-ba-dosh
jis ke KHeme se pare raat ki tariki mein
gursana bheDiye ghurraate hain
dur se aati hai jab us ki lahu ki KHushbu
sansanati hain darindon ki hansi
aur danton mein kasak hoti hai
ki karen us ka badan sad-para
apne KHeme mein simaT kar aurat
raat aankhon mein bita deti hai
kabhi karti hai alao raushan
bheDiye dur bhagane ke liye
kabhi karti hai KHayal
tez nukila jo auzar kahin mil jae
to bana le hathiyar
us ke KHeme mein bhala kya hoga
TuTe phuTe hue bartan do-chaar
dil ke bahlane ko shayad ye KHayal aate hain
us ko malum hai shayad na sahar ho pae
sote bachchon pe jamae nazren
kan aahaT pe dhare baiThi hai
han dhyan us ka jo baT jae kabhi
gungunati hai koi bisra git
kisi banjare ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.