ekta
har balā se māvarā hai ektā
mulk-o-millat kī baqā hai ektā
buz-diloñ kā kaam hai buġhz-o-inād
ahl-e-himmat kī adā hai ektā
ektā hai maḳhzan-e-sad-imbisāt
ranj se nā-āshnā hai ektā
abr-e-rahmat hai ye apnoñ ke liye
ġhair ke haq meñ balā hai ektā
duur kartī hai diloñ se tīrgī
mamba.a-e-nūr-e-ḳhudā hai ektā
tafraqa hai zahr qaumoñ ke liye
chashma-e-āb-e-baqā hai ektā
phūltī phaltī haiñ is se bastiyāñ
zāmin-e-nashv-o-numā hai ektā
is ke dāman meñ hai amn-o-āfiyat
har musībat kī davā hai ektā
jabr-o-istibdād kī dushman hai ye
be-kasoñ kā aasrā hai ektā
dushmanān-e-hurriyat ke vāste
ek tīr-e-be-ḳhatā hai ektā
ektā se qaum-o-millat kā faroġh
qaumiyat kī intihā hai ektā
ektā hai har payambar kā payām
barbat-e-haq kī navā hai ektā
har bala se mawara hai ekta
mulk-o-millat ki baqa hai ekta
buz-dilon ka kaam hai bughz-o-inad
ahl-e-himmat ki ada hai ekta
ekta hai maKHzan-e-sad-imbisat
ranj se na-ashna hai ekta
abr-e-rahmat hai ye apnon ke liye
ghair ke haq mein bala hai ekta
dur karti hai dilon se tirgi
mamba-e-nur-e-KHuda hai ekta
tafraqa hai zahr qaumon ke liye
chashma-e-ab-e-baqa hai ekta
phulti phalti hain is se bastiyan
zamin-e-nashw-o-numa hai ekta
is ke daman mein hai amn-o-afiyat
har musibat ki dawa hai ekta
jabr-o-istibdad ki dushman hai ye
be-kason ka aasra hai ekta
dushmanan-e-hurriyat ke waste
ek tir-e-be-KHata hai ekta
ekta se qaum-o-millat ka farogh
qaumiyat ki intiha hai ekta
ekta hai har payambar ka payam
barbat-e-haq ki nawa hai ekta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.