ekta ki aawaz
ḳhulūs dil meñ liye kārvāñ ke saath chalo
musāfiro chalo azm-e-garāñ ke saath chalo
zamāna saath chale anjuman bhī saath chale
bahār chūme qadam bāñkpan bhī saath chale
vo azm ho ki jise zindagī salām kare
qadam qadam pe sukūñ jashn-e-ehtimām kare
vatan kī laaj bano qaum kā nikhār bano
har ek dil ke liye husn-e-e.atibār bano
bhulā do firqa-parastī kī dāstānoñ ko
miTā do baḌh ke ta.assub bhare jahānoñ ko
qasam vatan kī tumheñ ektā ke gun gaao
diloñ meñ azmat-e-qaum-o-vatan ko chamkāo
qadam ke saath agar dil mileñ to baat bane
jahāñ bhī chāho vahīñ manzil-e-hayāt bane
ho ek dil zarā āvāz bhī milā ke chalo
chalo to rāh-e-havādis meñ muskurā ke chalo
KHulus dil mein liye karwan ke sath chalo
musafiro chalo azm-e-garan ke sath chalo
zamana sath chale anjuman bhi sath chale
bahaar chume qadam bankpan bhi sath chale
wo azm ho ki jise zindagi salam kare
qadam qadam pe sukun jashn-e-ehtimam kare
watan ki laj bano qaum ka nikhaar bano
har ek dil ke liye husn-e-eatibar bano
bhula do firqa-parasti ki dastanon ko
miTa do baDh ke tassub bhare jahanon ko
qasam watan ki tumhein ekta ke gun gao
dilon mein azmat-e-qaum-o-watan ko chamkao
qadam ke sath agar dil milen to baat bane
jahan bhi chaho wahin manzil-e-hayat bane
ho ek dil zara aawaz bhi mila ke chalo
chalo to rah-e-hawadis mein muskura ke chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.