election ke din
sunā.eñ tumheñ baat ik raat kī
election ke din kī siyah raat thī
vo voToñ kī gintī vo hullaḌ vo shor
the jam.a vahāñ par ka.ī vote chor
machī ek halchal sī elaan se
ki jiite haiñ buddhū baḌī shaan se
nazar aa.e Daale gale meñ vo haar
the piTThū bhī hamrāh un ke hazār
ka.ī chauñk uTThe unheñ dekh kar
ki the film ke actor beshtar
shrī buddhā raa.e vo mash.hūr haiñ
siyāsat meñ aa kar vo maġhrūr haiñ
paḌī ek laḌke kī un par nazar
pakaḌ hī liyā bhiiḌ meñ dauḌ kar
kahā mere hero zarā nāchiye
vo filmī kathā.eñ zarā bāñchiye
flat aap kā hai baḌā shāndār
badalte haiñ har saal a.alā sī car
girā.eñge kitne ġharīboñ ke ghar
ġharībī ko ro.eñge phir baiTh kar
ye maanā ki ūñche adākār haiñ
ġharīboñ ke dukh se ḳhabar-dār haiñ
jahezī chitāoñ kā uThtā dhuāñ
sunātā dukhoñ kī hai kyā dāstāñ
ka.ī baar aa.ī hai filmī qazā
ajī jiite jī maut kyā hai bhalā
diyā sun ke netā ne us ko javāb
siyāsat kī bāzīgarī hai janāb
ki zarre ko chamkā.e juuñ āftāb
siyāsat kā hai ab to ḳhāna-ḳharāb
adākār filmī haiñ ham to magar
nahīñ ham se kam ye purāne magar
magarmachh ke aañsū bahāte haiñ sab
nigal kar ye jantā ko khāte haiñ sab
uchhal kuud kar dauḌ kar bhaag kar
dikhāte haiñ jantā ko apnā hunar
ye ham se bhī baḌh kar adākār haiñ
ye jo des-bhagTī ke autār haiñ
sunaen tumhein baat ek raat ki
election ke din ki siyah raat thi
wo woTon ki ginti wo hullaD wo shor
the jama wahan par kai wote chor
machi ek halchal si elan se
ki jite hain buddhu baDi shan se
nazar aae Dale gale mein wo haar
the piTThu bhi hamrah un ke hazar
kai chaunk uTThe unhen dekh kar
ki the film ke actor beshtar
shri buddha rae wo mashhur hain
siyasat mein aa kar wo maghrur hain
paDi ek laDke ki un par nazar
pakaD hi liya bhiD mein dauD kar
kaha mere hero zara nachiye
wo filmi kathaen zara banchiye
flat aap ka hai baDa shandar
badalte hain har sal aala si car
giraenge kitne gharibon ke ghar
gharibi ko roenge phir baiTh kar
ye mana ki unche adakar hain
gharibon ke dukh se KHabar-dar hain
jahezi chitaon ka uThta dhuan
sunata dukhon ki hai kya dastan
kai bar aai hai filmi qaza
aji jite ji maut kya hai bhala
diya sun ke neta ne us ko jawab
siyasat ki bazigari hai janab
ki zarre ko chamkae jun aaftab
siyasat ka hai ab to KHana-KHarab
adakar filmi hain hum to magar
nahin hum se kam ye purane magar
magarmachh ke aansu bahate hain sab
nigal kar ye janta ko khate hain sab
uchhal kud kar dauD kar bhag kar
dikhate hain janta ko apna hunar
ye hum se bhi baDh kar adakar hain
ye jo des-bhagTi ke autar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.