vo duur buland pahāḌoñ par
malbūs farishtoñ kā pahne
ḳhvāboñ ke muhīb daraḳhtoñ kī
shāḳhoñ par jhūlā Daale hue
parchhā.iyāñ chhoTī baḌī lākhoñ
masrūf haiñ zaḳhm-shumārī meñ
maiñ ek nahīf se nuqte kī
bāñhoñ meñ asiir taḌaptā huuñ
hamvār zamīñ par chalne kī
ḳhvāhish ke azaab meñ jaltā huuñ
wo dur buland pahaDon par
malbus farishton ka pahne
KHwabon ke muhib daraKHton ki
shaKHon par jhula Dale hue
parchhaiyan chhoTi baDi lakhon
masruf hain zaKHm-shumari mein
main ek nahif se nuqte ki
banhon mein asir taDapta hun
hamwar zamin par chalne ki
KHwahish ke azab mein jalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.