ham sharīf insānoñ
kī ajiib aadat hai
ham libās vāloñ ko
nange-pan se nafrat hai
sach ko sach nahīñ kahte
jhuuT bhī chhupāte haiñ
nange rahne vāloñ ko
be-adab batāte haiñ
ham adhūrī chāhat ko
ḳhvāb naam dete haiñ
maut kī haqīqat ko
ik paḌāv kahte haiñ
jyuuñ kā tyuuñ nahīñ kahte
isti.āre laate haiñ
be-vaj.h sajāte haiñ
jism kī zarūrat ko
tum bhī ishq kahte ho
tum baḌe mohazzab ho
hum sharif insanon
ki ajib aadat hai
hum libas walon ko
nange-pan se nafrat hai
sach ko sach nahin kahte
jhuT bhi chhupate hain
nange rahne walon ko
be-adab batate hain
hum adhuri chahat ko
KHwab nam dete hain
maut ki haqiqat ko
ek paDaw kahte hain
jyun ka tyun nahin kahte
istiare late hain
be-wajh sajate hain
jism ki zarurat ko
tum bhi ishq kahte ho
tum baDe mohazzab ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.