europe ki zindagi
din bhar hai charchā kaam kā
shab aur sharāb-e-jāñ-fazā
din bhar haiñ saarī saḳhtiyāñ
shab aur hūrān-e-jināñ
ek ek sāñche meñ Dhalī
ek ek patlī qahr kī
ġhuncha-dahan aafat adā
shoḳhī ġhazab ġhamza balā
zāhir meñ saffākī bharī
bātin meñ ik jazb-e-ḳhafī
tevar se rūkhā-pan ayaañ
andāz meñ mastī nihāñ
paalo kabhī vahshī hiran
ḳhud said par nāvak fagan
kyoñ kar na yāroñ ke bhalā
lab se yahī nikle sadā
baalā ho yā pastī ġhazab
is taur kī hastī ġhazab
ai zindagī ai zindagī
haiñ bār-āvar tujh se hī
bāġh-e-tamannā ke shajar
din bhar hai charcha kaam ka
shab aur sharab-e-jaan-faza
din bhar hain sari saKHtiyan
shab aur huran-e-jinan
ek ek sanche mein Dhali
ek ek patli qahr ki
ghuncha-dahan aafat ada
shoKHi ghazab ghamza bala
zahir mein saffaki bhari
baatin mein ek jazb-e-KHafi
tewar se rukha-pan ayan
andaz mein masti nihan
palo kabhi wahshi hiran
KHud said par nawak fagan
kyon kar na yaron ke bhala
lab se yahi nikle sada
baala ho ya pasti ghazab
is taur ki hasti ghazab
ai zindagi ai zindagi
hain bar-awar tujh se hi
bagh-e-tamanna ke shajar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.