maiñ ne logoñ se bhalā kyā sīkhā
yahī alfāz meñ jhūTī sachchī
baat se baat milānā dil kī
be-yaqīnī ko chhupānā sar ko
har ġhabī kund-zehn shaḳhs kī ḳhidmat meñ jhukānā hañsnā
muskurāte hue kahnā sāhab
zindagī karne kā fan aap se behtar to yahāñ koī nahīñ jāntā hai
guftugū kitnī bhī maj.hūl ho māthā hamvār
kaan bedār raheñ āñkheñ nihāyat gahrī
soch meñ Duubī huī
falsafī aise kitābī yā zabānī maano
us se pahle kabhī insān ne dekhe ne sune
un ko batlā do yahī baat vagarna ik din
o ruuh din bhī bahut duur nahīñ
tum nahīñ aaoge ye log kaheñge jāhil
baat karne kā salīqa hī nahīñ jāntā hai
kyā tumheñ ḳhauf nahīñ aatā hai
ḳhauf aatā hai ki logoñ kī nazar se gir kar
hāzra daur meñ ik shaḳhs jiye to kaise
shahr meñ lākhoñ kī ābādī meñ
ek bhī aisā nahīñ
jis kā īmān kisī aise vajūd
aisī hastī yā haqīqat yā hikāyat par ho
jis tak
hāzra daur ke jibra.īl kī ya.anī aḳhbār
dastaras na ho rasā.ī na ho
maiñ ne logoñ se bhalā kyā sīkhā
buzdilī aur jahālat kī fazā meñ jiinā
dā.imī ḳhauf meñ rahnā kahnā
sab barābar haiñ hujūm
jis taraf jaa.e vahī rasta hai
maiñ ne logoñ se bhalā kyā sīkhā
main ne logon se bhala kya sikha
yahi alfaz mein jhuTi sachchi
baat se baat milana dil ki
be-yaqini ko chhupana sar ko
har ghabi kund-zehn shaKHs ki KHidmat mein jhukana hansna
muskuraate hue kahna sahab
zindagi karne ka fan aap se behtar to yahan koi nahin jaanta hai
guftugu kitni bhi majhul ho matha hamwar
kan bedar rahen aankhen nihayat gahri
soch mein Dubi hui
falsafi aise kitabi ya zabani mano
us se pahle kabhi insan ne dekhe ne sune
un ko batla do yahi baat wagarna ek din
o ruh din bhi bahut dur nahin
tum nahin aaoge ye log kahenge jahil
baat karne ka saliqa hi nahin jaanta hai
kya tumhein KHauf nahin aata hai
KHauf aata hai ki logon ki nazar se gir kar
hazra daur mein ek shaKHs jiye to kaise
shahr mein lakhon ki aabaadi mein
ek bhi aisa nahin
jis ka iman kisi aise wajud
aisi hasti ya haqiqat ya hikayat par ho
jis tak
hazra daur ke jibrail ki yani aKHbar
dastaras na ho rasai na ho
main ne logon se bhala kya sikha
buzdili aur jahaalat ki faza mein jina
daimi KHauf mein rahna kahna
sab barabar hain hujum
jis taraf jae wahi rasta hai
main ne logon se bhala kya sikha
- Book : tanhaa.ii (Pg. 252)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.