farigh
(ġhabriel ġharciamarcuez ke andāz meñ)
jab vo paidā huā
to us kī donoñ āñkheñ dahak rahī thiiñ
donoñ papoTe phaTe hue the
putlī kī dīvār se laTke
āñkhoñ ke parde aage se haTe hue the
jab us kī āñkheñ hiltīñ
to dīvāroñ pe un kī lau hilne lagtī thī
vo paidā hone se pahle
saare dhone dho aayā thā
apne janm kā saarā ronā ro aayā thā
(ghabriel gharciamarcuez ke andaz mein)
jab wo paida hua
to us ki donon aankhen dahak rahi thin
donon papoTe phaTe hue the
putli ki diwar se laTke
aankhon ke parde aage se haTe hue the
jab us ki aankhen hiltin
to diwaron pe un ki lau hilne lagti thi
wo paida hone se pahle
sare dhone dho aaya tha
apne janm ka sara rona ro aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.