fasla
havā.eñ le ga.iiñ vo ḳhaak bhī uḌā ke jise
kabhī tumhāre qadam chhū ga.e the aur maiñ ne
ye jī se chāhā thā dāman meñ bāñdh lūñgā use
sunā thā maiñ ne kabhī yuuñ huā hai duniyā meñ
ki aag lene ga.e aur payambarī paa.ī
kabhī zamīñ ne samundar ugal diye lekin
bhañvar hī le ga.e kashtī bachā ke tūfāñ se
meñ sochtā huuñ payambar nahīñ agar na sahī
ki itnā bojh uThāne kī mujh meñ taab na thī
magar ye kyuuñ na huā ġham milā thā duurī kā
to hausla bhī milā hotā sañg o aahan sā
magar ḳhudā ko ye sab sochne kā vaqt kahāñ?
hawaen le gain wo KHak bhi uDa ke jise
kabhi tumhaare qadam chhu gae the aur main ne
ye ji se chaha tha daman mein bandh lunga use
suna tha main ne kabhi yun hua hai duniya mein
ki aag lene gae aur payambari pai
kabhi zamin ne samundar ugal diye lekin
bhanwar hi le gae kashti bacha ke tufan se
mein sochta hun payambar nahin agar na sahi
ki itna bojh uThane ki mujh mein tab na thi
magar ye kyun na hua gham mila tha duri ka
to hausla bhi mila hota sang o aahan sa
magar KHuda ko ye sab sochne ka waqt kahan?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.