fasla
ye fāsla
jo tumhāre aur mere darmiyāñ hai
har ik zamāne kī dāstāñ hai
na ibtidā hai
na intihā hai
masāfatoñ kā azaab sāñsoñ kā dā.era hai
na tum kahīñ ho
na maiñ kahīñ huuñ
talāsh rañgīn vāhima hai
safar meñ lamhoñ kā kārvāñ hai
ye fāsla!
jo tumhāre aur mere darmiyāñ hai
yahī talab hai yahī jazā hai
yahī ḳhudā hai
ye fasla
jo tumhaare aur mere darmiyan hai
har ek zamane ki dastan hai
na ibtida hai
na intiha hai
masafaton ka azab sanson ka daera hai
na tum kahin ho
na main kahin hun
talash rangin wahima hai
safar mein lamhon ka karwan hai
ye fasla!
jo tumhaare aur mere darmiyan hai
yahi talab hai yahi jaza hai
yahi KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.