fasle
ab vo āñkhoñ ke shagūfe haiñ na chehroñ ke gulāb
ek manhūs udāsī hai ki miTtī hī nahīñ
itnī be-rañg haiñ ab rañg kī ḳhūgar āñkheñ
jaise is shahr-e-tamannā se koī rabt na thā
jaise dekhā thā sarāb
dekh letā huuñ agar koī shanāsā chehra
ek lamhe ko use dekh ke ruk jaatā huuñ
sochtā huuñ ki baḌhūñ aur koī baat karūñ
us se tajdīd-e-mulāqāt karūñ
lekin us shaḳhs kī mānūs gurezāñ nazreñ
mujh ko ehsās dilātī haiñ ki ab us ke liye
maiñ bhī anjān huuñ, ik aam tamāshā.ī huuñ
raah chalte hue in dūsre logoñ kī tarah
ab wo aankhon ke shagufe hain na chehron ke gulab
ek manhus udasi hai ki miTti hi nahin
itni be-rang hain ab rang ki KHugar aankhen
jaise is shahr-e-tamanna se koi rabt na tha
jaise dekha tha sarab
dekh leta hun agar koi shanasa chehra
ek lamhe ko use dekh ke ruk jata hun
sochta hun ki baDhun aur koi baat karun
us se tajdid-e-mulaqat karun
lekin us shaKHs ki manus gurezan nazren
mujh ko ehsas dilati hain ki ab us ke liye
main bhi anjaan hun, ek aam tamashai hun
rah chalte hue in dusre logon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.