fasle ki aag
har taraf hai sannāTā
har taraf hai vīrāna
āsmāñ ke parde meñ
māhtāb pinhāñ hai
zulmatoñ ke saa.e meñ
kā.enāt vīrāñ hai
lāpata havā bhī hai
lāpata parinde bhī
be-sadā udāsī meñ
barg-o-shāḳh bhī chup chup
har shajar ḳhamoshī meñ
dard se hai pazhmurda
ḳhvāb-gāh meñ merī
ḳhāmushī balā kī hai
huuñ to maiñ thakā-māñda
phir bhī niiñd anqā hai
maiñ niDhāl bistar par
ik ḳhalish liye andar
mahv huuñ ḳhayāloñ meñ
chāhatoñ meñ tum merī
bas ga.ī thiiñ ḳhushbū sī
hijr kā libās apnā
har ghaḌī mahaktā thā
mere gulshan-e-jāñ kī
ik kalī thiiñ tum goyā
yaad hai mujhe ab tak
vo tumhārī ḳhalvat kā
avvalīn manzar bhī
shauq-e-dīd laayā thā
khīñch kar mujhe tum tak
tishna tishna nazroñ se
tum ko maiñ ne dekhā thā
tum ko maiñ ne chāhā thā
be-qarār ho kar bhī
tum ko maiñ ne sochā thā
tishnagī ke sahrā meñ
pā liyā jo tum ko to
shauq ke sahāboñ meñ
pyaas bhī bujhā.ī thī
sarḳhushī kī mastī meñ
kā.enāt raqsāñ thī
jism-o-jāñ kī ḳhushbū se
bāġh-e-dil bhī mahkā thā
ġham tumhārā merā thā
merā ġham tumhārā thā
qurbatoñ ke saa.e meñ
mushtarak thiiñ socheñ bhī
ranj-o-shādmānī meñ
the sharīk donoñ hī
zindagī kī rāhoñ meñ
ham-safar thiiñ tum merī
aate jaate mausam kā
silsila rahā jaarī
māh-o-sāl bhī kitne
saath saath guzre the
yak-ba-yak havāoñ se
rang-e-āsmāñ badlā
phir rutoñ ke chehre par
rang-e-zard bhī aaya
vaqt hī ke hāthoñ meñ
ho ga.e khilaunā ham
aas kī kiran le kar
apnī apnī āñkhoñ meñ
dard ke safar par ham
nikle jānib-e-manzil
aur bhī ka.ī āñkheñ
darmiyāñ hamāre thiiñ
jin meñ jhilmilātī sī
ik kiran thī fardā kī
duur des meñ ham ne
shahr-e-ḳhvāb jab dekhā
jiine kī lalak apnī
ho ga.ī thī do-bālā
kaif-e-ārzū ban kar
zindagī bhī raqsāñ thī
aatī jaatī lahroñ meñ
bah ga.e achānak ham
ho ga.ī shikasta sī
kashti-e-tamannā bhī
pahlī baar bichhḌe the
ek dūsre se ham
tum udhar shikasta-pā
maiñ idhar shikasta dil
biich meñ samundar hai
fāsla tavālat kā
darmiyāñ hamāre hai
vaqt hī ke hāthoñ meñ
jaise ham khilaunā hoñ
dard kā tamāshā ab
roz dekhtā huuñ maiñ
tum bhī is tamāshe ko
roz dekhtī hogī
ab ye sochtā huuñ maiñ
ham ḳhizāñ-rasīdoñ ko
kab talak jalā.egī
fāsle kī aag āḳhir
har taraf hai sannaTa
har taraf hai virana
aasman ke parde mein
mahtab pinhan hai
zulmaton ke sae mein
kaenat viran hai
lapata hawa bhi hai
lapata parinde bhi
be-sada udasi mein
barg-o-shaKH bhi chup chup
har shajar KHamoshi mein
dard se hai pazhmurda
KHwab-gah mein meri
KHamushi bala ki hai
hun to main thaka-manda
phir bhi nind anqa hai
main niDhaal bistar par
ek KHalish liye andar
mahw hun KHayalon mein
chahaton mein tum meri
bas gai thin KHushbu si
hijr ka libas apna
har ghaDi mahakta tha
mere gulshan-e-jaan ki
ek kali thin tum goya
yaad hai mujhe ab tak
wo tumhaari KHalwat ka
awwalin manzar bhi
shauq-e-did laya tha
khinch kar mujhe tum tak
tishna tishna nazron se
tum ko main ne dekha tha
tum ko main ne chaha tha
be-qarar ho kar bhi
tum ko main ne socha tha
tishnagi ke sahra mein
pa liya jo tum ko to
shauq ke sahabon mein
pyas bhi bujhai thi
sarKHushi ki masti mein
kaenat raqsan thi
jism-o-jaan ki KHushbu se
bagh-e-dil bhi mahka tha
gham tumhaara mera tha
mera gham tumhaara tha
qurbaton ke sae mein
mushtarak thin sochen bhi
ranj-o-shadmani mein
the sharik donon hi
zindagi ki rahon mein
ham-safar thin tum meri
aate jate mausam ka
silsila raha jari
mah-o-sal bhi kitne
sath sath guzre the
yak-ba-yak hawaon se
rang-e-asman badla
phir ruton ke chehre par
rang-e-zard bhi aaya
waqt hi ke hathon mein
ho gae khilauna hum
aas ki kiran le kar
apni apni aankhon mein
dard ke safar par hum
nikle jaanib-e-manzil
aur bhi kai aankhen
darmiyan hamare thin
jin mein jhilmilati si
ek kiran thi farda ki
dur des mein hum ne
shahr-e-KHwab jab dekha
jine ki lalak apni
ho gai thi do-baala
kaif-e-arzu ban kar
zindagi bhi raqsan thi
aati jati lahron mein
bah gae achanak hum
ho gai shikasta si
kashti-e-tamanna bhi
pahli bar bichhDe the
ek dusre se hum
tum udhar shikasta-pa
main idhar shikasta dil
bich mein samundar hai
fasla tawalat ka
darmiyan hamare hai
waqt hi ke hathon mein
jaise hum khilauna hon
dard ka tamasha ab
roz dekhta hun main
tum bhi is tamashe ko
roz dekhti hogi
ab ye sochta hun main
hum KHizan-rasidon ko
kab talak jalaegi
fasle ki aag aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.