fasle
qurbatoñ ke fāsle
jo the vo kam nahīñ hue
diloñ meñ haiñ jo ranjisheñ
vo baras-hā-baras se haiñ usī tarah se maujzan
mohabbatoñ kī Dāliyāñ
kabhī kī ḳhushk ho chukīñ
munāfiqat kī chādareñ
diloñ pe haiñ chaḌhī huiiñ
ye ulfatoñ kī rahguzar
hai suunī aaj kis qadar
haiñ saath sab ba-zāhir ab
magar vo pyaar kī sham.a
jo raushnī kā thī sabab
vo bujh chukī vo gul huī
hai rab se merī ye duā
ai mere rab mire ḳhudā
mohabbatoñ kī Dāliyāñ
hoñ phir se sab harī-bharī
vo ulfatoñ kī rahguzar bane sabhī kī rahguzar
jale vo pyaar kī sham.a
ho chaar sū chamak-damak
ai mere rab
ye chāhatoñ kī dūriyāñ
munāfiqat kī chādareñ
ye qurbatoñ ke fāsle
sameT le mire ḳhudā
sameT le mire ḳhudā
qurbaton ke fasle
jo the wo kam nahin hue
dilon mein hain jo ranjishen
wo baras-ha-baras se hain usi tarah se maujzan
mohabbaton ki Daliyan
kabhi ki KHushk ho chukin
munafiqat ki chadaren
dilon pe hain chaDhi huin
ye ulfaton ki rahguzar
hai suni aaj kis qadar
hain sath sab ba-zahir ab
magar wo pyar ki shama
jo raushni ka thi sabab
wo bujh chuki wo gul hui
hai rab se meri ye dua
ai mere rab mere KHuda
mohabbaton ki Daliyan
hon phir se sab hari-bhari
wo ulfaton ki rahguzar bane sabhi ki rahguzar
jale wo pyar ki shama
ho chaar su chamak-damak
ai mere rab
ye chahaton ki duriyan
munafiqat ki chadaren
ye qurbaton ke fasle
sameT le mere KHuda
sameT le mere KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.