fatiha
agar qabristān meñ
alag alag katbe na hoñ
to har qabr meñ
ek hī ġham soyā huā rahtā hai
kisī maañ kā beTā
kisī bhaa.ī kī bahan
kisī āshiq kī mahbūba
tum!
kisī qabr par bhī fātiha paḌh ke chale jaao
agar qabristan mein
alag alag katbe na hon
to har qabr mein
ek hi gham soya hua rahta hai
kisi man ka beTa
kisi bhai ki bahan
kisi aashiq ki mahbuba
tum!
kisi qabr par bhi fatiha paDh ke chale jao
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 335)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.