fabe-ayye aalaye rabbikuma tukazziban
dil-āzārī bhī ik fan hai
aur kuchh log to
saarī zindagī isī kī roTī khāte haiñ
chāhe un kā burj koī ho
aqrab hī lagte haiñ
tīsre darje ke piile aḳhbāroñ par ye
apnī yarqānī sochoñ se
aur bhī zardī malte rahte haiñ
maalā baarī cabin hoñ yā pāñch sitāra hotel
kahīñ bhī qai karne se baaz nahīñ aate
uupar se is amal ko
fiqre-bāzī kahte haiñ
jis kā pahlā nishāna umūman
bill ko adā karne vaalā sāthī hotā hai!
apne apne kuñveñ ko bahr-e-āzam kahne aur samajhne vaale
ye nanhe meñDak
har hāthī ko dekh ke phūlne lage haiñ
aur jab phaTne vaale hoñ to
hāthī kī āñkhoñ par phabtī kasne lage haiñ
kavve bhī anDe khāne ke shauq ko apne
fāḳhta ke ghar jā kar puurā karte haiñ
lekin ye vo saañp haiñ jo ki
apne bachche
ḳhud hī chaT kar jaate haiñ
kabhī kabhī maiñ sochtī huuñ ki
sāñpoñ kī ye ḳhaslat
mālik-e-jiñn-o-ins kii, insānoñ ke haq meñ
kaisī be-pāyāñ rahmat hai!
dil-azari bhi ek fan hai
aur kuchh log to
sari zindagi isi ki roTi khate hain
chahe un ka burj koi ho
aqrab hi lagte hain
tisre darje ke pile aKHbaron par ye
apni yarqani sochon se
aur bhi zardi malte rahte hain
mala bari cabin hon ya panch sitara hotel
kahin bhi qai karne se baz nahin aate
upar se is amal ko
fiqre-bazi kahte hain
jis ka pahla nishana umuman
bill ko ada karne wala sathi hota hai!
apne apne kunwen ko bahr-e-azam kahne aur samajhne wale
ye nanhe meinDak
har hathi ko dekh ke phulne lage hain
aur jab phaTne wale hon to
hathi ki aankhon par phabti kasne lage hain
kawwe bhi anDe khane ke shauq ko apne
faKHta ke ghar ja kar pura karte hain
lekin ye wo sanp hain jo ki
apne bachche
KHud hi chaT kar jate hain
kabhi kabhi main sochti hun ki
sanpon ki ye KHaslat
malik-e-jinn-o-ins ki, insanon ke haq mein
kaisi be-payan rahmat hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.