face book
login karte karte
pahlī jo tasvīr ubhrī
laash thī vo
laash kā chehra khulā huā thā
nīche laa.ik likhā huā thā
cursor us par kaañp rahā thā
us ke nīche
sālgirah kā cake sajā thā
ġhubbāroñ aur tohfoñ se
saarā kamra bharā huā thā
yahāñ bhī laa.ik likhā huā thā
maiñ hairat se dekh rahī thī
soch rahī thī
na-jāne is na.ī luġhat meñ
laa.ik kā matlab kyā hogā
ham ne to is lafz ke pīchhe
ḳhuuñ thūkā ban-bās liyā
ham jaise dīvāne
lafzoñ kī tauqīr pe marne vaale
mushkil hī se samjhauta kar paate haiñ
ham jaise dīvānoñ kī
alfāz hañsī uḌāte haiñ
login karte karte
pahli jo taswir ubhri
lash thi wo
lash ka chehra khula hua tha
niche laik likha hua tha
cursor us par kanp raha tha
us ke niche
salgirah ka cake saja tha
ghubbaron aur tohfon se
sara kamra bhara hua tha
yahan bhi laik likha hua tha
main hairat se dekh rahi thi
soch rahi thi
na-jaane is nai lughat mein
laik ka matlab kya hoga
hum ne to is lafz ke pichhe
KHun thuka ban-bas liya
hum jaise diwane
lafzon ki tauqir pe marne wale
mushkil hi se samjhauta kar pate hain
hum jaise diwanon ki
alfaz hansi uDate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.