ek duniyā baḌe kamāl kī hai
lamha lamha na.e savāl kī hai
mah-vashoñ ke jamāl kī duniyā
jazba-e-ittisāl kī duniyā
jhuuT aur sach kā be-surā sañgam
ek duniyā ḳhayāl par qaa.em
jis ko maiñ chhoḌnā agar chāhūñ
us se muñh moḌnā agar chāhūñ
hasratoñ par zavāl aa.egā
harf-e-jāñ par savāl aa.egā
ab to chehre yaqīñ se aage haiñ
mustaqil e'tibār kis kā hai
ho gayā kitnā facebōk kā chalan
jī meñ aatā hai toḌ duuñ darpan
raushnī saath jab nahīñ detī
tīrgī maat jab nahīñ detī
aao parchhā.iyoñ se baat kareñ
uñgliyāñ shaġhl-e-kā.enāt kareñ
ek duniya baDe kamal ki hai
lamha lamha nae sawal ki hai
mah-washon ke jamal ki duniya
jazba-e-ittisal ki duniya
jhuT aur sach ka be-sura sangam
ek duniya KHayal par qaem
jis ko main chhoDna agar chahun
us se munh moDna agar chahun
hasraton par zawal aaega
harf-e-jaan par sawal aaega
ab to chehre yaqin se aage hain
mustaqil e'tibar kis ka hai
ho gaya kitna facebook ka chalan
ji mein aata hai toD dun darpan
raushni sath jab nahin deti
tirgi mat jab nahin deti
aao parchhaiyon se baat karen
ungliyan shaghl-e-kaenat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.